السلام عليكم ورحمة الله وبركاته
الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على رسول الله صلى الله عليه وسلم ○
Sawal:-
Soodkhor ki aulad se shadi karna, aur uski dawat khubool karna kaisa hai?
Jawab:- ✍🏻
*Qur'an*
Allah pak ka farmaan hai:
واحل اللہ البیع وحرم الربوا۔ (سورۃ البقرۃ ۔275(
Tarjuma:-
Allah ne tijarat ko halal aur sood ko haram kharar diya hai.
Soodkhor ki beti se shadi kijasakte hain, Albatta us ke ghar beti dena saheeh nahi hai. Agar soodkhor ka beta halal kamayi hasil karta hai to us surat me us ladke ko ladki dene me koi harj nahi hai.
Soodkhor ki dawat khoobal nahi karna chahiye, jab ke ye malom ho ke us shaks ki aamadni pori ki pori haram ho, agar us shaks ki aamadni me halal kamayi bhi ho to us surat me uski dawat khubool karsakte hain, magar bahetar aur taqwa ye hai ke dawat me nahi jana chahiye take wo sharminda hosake aur soodkhori se tauba karle.
Soodkhor agar kisi ko sadqa wo khairaat karta hai to uska masala alag hai, magar lene wale muhtaj ke liye wo paisa jaiz hai.
*Qur'an*
Allah pak ka farmaan hai:
وَ مَنْ یَّتَّقِ اللّٰهَ یَجْعَلْ لَّهٗ مَخْرَجًاۙ(۲) وَّ يَرْزُقْهُ مِنْ حَيْثُ لَا يَحْتَسِبُؕ (۳)
Tarjuma:-
Jo koi bhi Allah ka taqwa ikhtiyar karta hai Allah pak us ke liye nikalne ki raah paida kar deta hai, aur usay rizaq bhi wahan se deta hai jahan se us ka vahem wo gumaan bhi nahi hota.
(Surah At Talaq Ayat 2-3)
والله أعلم بالصواب
مولوى حافظ محمد عظمت الله نظامي
No comments:
Post a Comment