السلام عليكم ورحمة الله وبركاته
الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على أشرف الأنبياء والمرسلين محمد وعلى آله وصحبه أجمعين ○
Sawal:-
Agar bhool se ya anjane me Qur'an pak haat se choot kar Zameen per girjaye to kya karna chahiye?
Jawab:- ✍🏻
Qur'aan e pak, panj surah ya Qur'aan ka para bhool ke haat se choot jaye to is ka koi kaffara nahi hai, haa Albatta tauba zaror Karen aur aisi bhool dobara na ho is ke liye Allah se dua Karen aur maafi mange.
Agar is ke badle me kuch sadqa karna chahe to karsakte hain. Allah maaf karne wala bakashne wala hai.
Agar koi jaan kar aur samjh kar aisi harkat karta hai to wo Islam se kharij hai, wo musalm nahi rahega, magar koi musalman is tarha jaan boojh kar to nahi karta.
NOTE:
Is masle me ulama ki yahi raaye hai.
والله أعلم بالصواب
مولوى حافظ محمد عظمت الله نظامي
Mashallah
ReplyDeleteMasha Allah
ReplyDelete