السلام عليكم ورحمة الله وبركاته
بسم الله الرحمن الرحيم
الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على أشرف الأنبياء والمرسلين وعلى آله وصحبه أجمعين أما بعد
Sawal:-
Kaale jaado ki haqeeqat kya hai?
Jawab:- ✍🏻
Kalaa jaado karne wala aur karaane wala dono kafir hain.
Jaado aise kaam ko kahte hain jis me shayateen ko kush karke unse madad leejati hai. Aur phr us me aise kalimaat padhe jate hain jis me kufr aur shirkiya kalimaat hote hain jis ke zarye shaitan ko kush karte hain.
Qur'an
وہ لوگ کسی کو جادو کے ذریعے نقصان نہیں پہنچاسکتے تھے مگر اللہ کے حکم سے"۔ (البقرہ)
Mafhoom:-
Wo log kisi ko jaado ke zarye nuqsaan nahi pahunchaa sakte the magar Allah ke hukum se.
(Surah Al-Baqra)
Beshak jaado ek ilm hai aur uski khaas haqeeqat bhi hai.
Hazrat Moosa عليه السلام ke zamane me bahot bade bade jaadogar the isi liye Allah ne Hazrat Moosa عليه السلام ko ek asaa (Lakdi) ataa ki thi jis ke zarye aap عليه السلام ne apna moojiza zahir farmaya tha.
Kala jaado bilkul Qur'an aur Hadees ke khilaf hai (ultha ilm hai) aur jaado insano per asar bhi karta hai yaha tak ke jaado ke zarye jaan bhi jaasakti hai.
Hadees shareef:-
ایک یہودی نے نبی اکرم ﷺ پر جادو کیا، جب آپ ﷺ نے اس کے اثرات کو اپنے اوپر محسوس کیا تو جبرائیل علیہ السلام تشریف لائے اور سورۃ الفلق اور سورۃ الناس جن کو ’’معوّذتین‘‘ کہتے ہیں، وحی کی گئیں پھر جبرائیل علیہ السلام نے آپ ﷺ سے کہا: ’’یقیناً ایک یہودی نے آپ ﷺ پر جادو کیا ہے اور اس کا طلسم فلاں کنویں میں رکھا ہوا ہے۔‘‘
Kya Corona qayamat ki nashani hai - کیا کورونا قیامت کی نشانی ہے
Ek yahodi ne nabi akram ﷺ par jaadoo kya, jab aap ﷺ ne is ke asraat ko –apne upar mehsoos kya to Jibraiel aleh salam tashreef laaye aur Surah Al-Falaq (113) aur Surah Al-Naas (114) jin ko ''معوذتین'' kehte hain, wahi nazil ki gayee phir Jibraiel Alaihi Salam ne aap ﷺ se arz kiya: “yaqeenan ek yahodi ne aap ﷺ par jaadoo kya hai aur is ka jadoo falan kunvey (well) mein rakha huwa hai”.
Allah ke Rasool ﷺ ne Hazrat Ali رضي الله عنه ko bheja k waha se tilism ko laayen, Jab Hazrat Ali رضي الله عنه usko lekar aaye to aap ﷺ farmaya ke us tilism ke dhagon ko kholen, aur har dhage ke in surat ki ek ek aayat padho, jab hazrat Ali رضي الله عنه ne aisa kiya to Allah ke Rasool ﷺ aise uth khade huwe goya ke pahle apko bandhagaya tha.
(Saheeh Bukhari)
والله أعلم بالصواب
مولوي حافظ محمد عظمت الله نظامي عفی عنہ
Share, like twitter Pinterest
Follow this Blog
Contact karne ke liye yaha click karen
Allah walon se dosti karna chahate hain to yaha click karen
Dua & Wazaif ke liye yaha click karen
No comments:
Post a Comment