الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على اشرف الانبياء والمرسلين وعلى اله وصحبه اجمعين اما بعد
Sawal:-
Sajda e Tilawat Kyun karte hain, aur uski haqeeqat kya hai?
Jawab:-✍️
Quran shareef me kul 15 sajde hain jin me se hanifiyon ke paas 14 hain, jaise hi aap quran shareef me se un aayaton ko tilawat karte hain to aap per wajib hai ke fauran usi waqt sajad me chalajaye aur tasbeeh padhe, phr us ke bad dubara quran ki tilawat karna shuru karde.
jin Aayaat main sajdah Karnay ka hukum diyaa gaya hai wo is liye diyaa gaya hai ke, jab Allah ne kuffar ko sajdah Karnay ka hukm diyaa leykin Unhon ne inkaar Kardiya to Allah ne musalmano ko hukm diyaa ke kuffar ki mukhaalifat main aur un ko zaleel Karnay key liye, is maqaam par sajdah Karein.
Aur baaz muqamaat per Allah pak ne anbiya aur farishton ke sajda karne ka waqiya bayan kiya hai, lehaza aam musalmano ko bhi hukum diyagaya ke un aayaton per fauran sadaj kare.
Sajda e Tilawat:
یقینا جو آپ کے رب کے نزدیک ہیں وہ اس کی عبادت سے تکبر نہیں کرتے اور اس کی پاکی بیان کرتے ہیں اور اس کو سجدہ کرتے ہیں
) سورة الاعراف (
Yaqeenan jo aap ke rab ke nazdeek hain woh us ki ebaadat sey takabbur nahi Kartay aur us ki paaki bayaan Kartay hain aur us ko sajda Kartay hain.
Aap se guzarish hai ke Sajda e Tilawat wali 14 aayaat ko ek bar ghaoor se tarjume ke sat padhen take malom ho jaye ke un aayaton me sajde ka hukum aur us ki haqeeqat kya hai.
والله أعلم بالصواب.
حافظ محمد عظمت الله نظامي عفی عنہ
No comments:
Post a Comment