Monday, August 2, 2021

Fawaid ul fu’ad - فوائد الفواد Hazrath Syed Khwaja Hasan Sani Nizami (رح)

Islami Taleemaat

    Sultan ul Mashaikh hazrath khawaja Nizamuddin Auliya Mahboob e Ilahi (رح) Jin ko pyar se "Sultan Ji" pukara jata hai. Hindustan main sufiyon ke chishtiya silsile ke chaute (4th) bade buzrug hain. Pahle Buzrug Hazrath Khawaja e Khawjagan Khawaja Syed Moinuddin Hasan Chishti Ajmeri (رح) hain. Dusre unke janasheen Hazrath Khawaja qutubuddin bukhtiyar kaki (رح) aur teesre Qutub saheb ke janasheen Hazrat shaik ul shuyoukh ul Aalam Baba fareeduddin masood ganj e shakar (رح) jinhon ne Hazrat khawaja Nizamuddin Auliya (رح) ko apna  janasheen banaya. Hazrath baba fareed wo buzrog hain jinka panjabi kalam sikh Guru saheban ne apni mazhabi kitab Guru Garanth saheb me darj kiya hai.


Kitab: Fawaid ul fu’ad Nizami - فوائد الفواد

Urdu Tarjuma: Hazrath Syed Khwaja Hasan Sani Nizami (رح).

18th Majlis – Aatharvi(18) Majlis  - اٹھارویں مجلس

Page No. 244- صفحہ نمبر

    Imam Nasiri (رح) ki tafseer samne thi. Is munasibat se saheb e tafseer ke bare main farmaya ke ek dafa Imam saheb bimar pade. aur us bimari main unhen sakta hogaya,  rishtedar aur doston ne jana keh inteqal hogaya hai. Chunanche Unhen qabar me dafan kardiya gaya. Raat me unhen hosh aagaya. Aur pata chala ke unhen qabar me dafan karfiya gaya hai. Isi hairat aur lachari me Unhen yaad aaya ke jo shaks pareshani main 40 baar surah "Yaseen" padhta hai Allah pak use uski tangi main kushadgi ataa farmata hai. Aur raasta paida karta hai. Usi waqt "Yaseen" padhni shuru kardi. Jab 39 martaba padh chuke to kushadgi ke aasar paida hogaye. Aur huwa ye ke koi kafan choor kafan ki lalcah me qabar kholi. Imam saheb samajh gaye ke yeh kafan choor hai. chaleesven 40th martaba "Yaseen" aahista awaz se padhi taa-keh wo na sune aur qabar ko marzi ke mutabiq khole. qissa muqtasar Jab 40 baar "Yaseen" pori hogyi to Imam Nasir saheb aahista se qabar ke baher aaye to kafan choor ne jab ye dekha to us per aisi daheshat tari hogayi ke wo usi waqt margaya. Imam saheb ko us ke marne ka bahot afsos huwa. aur khabar se nikal kar sochne lage ke jab log mujhe eka ek dekhenge to khauf se ta'ajjub wo hairat main padhjayege. Pas raat hi ko wo ahista ashista shaher (city) main aaye aur pura ke main falan shaks hon aur mujh ko sakte ki wajhe se galat fahmi main dafan kar aaye the. yeh kahte huwe aaye taake makhlooq ko achunbha (khauf se pareshan na hona pade) na ho.

Transliteration by: Hafiz Mohammed Azmatullah Nizami

 

Like & Share on Whatsapp, Facebook, twitter, Pinterest

Follow this Blog.

https://taleemaat.blogspot.com/

Fiqhi Masail-Namaz, Roza, Zakat & Digar ke liye yaha click karen

Contact karne ke liye yaha click karen

Allah walon se dosti karna chahate hain to yaha click karen

Dua & Wazaif ke liye yaha click karen

Naat shareef & Salaam ke liye yaha Click karen


 

No comments:

Post a Comment

Popular posts