Wednesday, August 18, 2021

Suchcha Aashiq e Ahl e Bayt - سچا عاشق اہل بیت

 

Suchcha Aashiq e Ahl e Bayt - سچا عاشق اہل بیت

 

Ay Aashiqan-e-Ahl-e-Bayt! Yeh haqeeqat hay kay jab ‘kisi’ say mohabbat ho jaye to ‘us’ say nisbat rakhnay wali har shay (cheez) say piyar hojata hai, mahboob ki aulad ho ya us say nisbat rakhne wali har cheez, sab piyaray lagtay hain, aisay hi jis ko Allah Pak kay piyaray Akhiri Nabi, Muhammad Arbi صلى الله عليه وسلم  say mohabbat hoti hai woh un ki Aal aur aulad say mohabbat rakhta hai, agar kisi kay andar Ishq-e-Rasool daykhna ho to, ye daykhiye kay woh Ahl-e-Bayt say kis qadar mohabbat rakhta hai. Yaqeenan jo koi Ahl-e-Bayt ka sacha mohabbat-o-mauttaqid (ya’ni mohabbat-o-aqeedat rakhnay walay) hai, wo shaks dil- o - jan say adab-o-ehtiraam karta aur Ahl e bayt ko Jannati manta hai to aisa khush-naseeb shakhs hi haqeeqat may sachcha pakka Aashiq-e-Rasool aur Aashiq e Ahl-e-Bayt hai.

Allah Pak aison kay saqaday hamary be-hisab magfirat farmaye. Aameen.

آمين يارب العالمين

Fazail e Ahl e bayt

 

Hazrat Hasan رضي الله عنه ne jab apni khilafat ko Allah pak ki raza ke liye aur musalmano ke khoon ki hifazat ke liye tarak kardiya. To ek shaks ne aap رضي الله عنه se kaha.

Aye Momineen ko zaleel karne wale tujh per salaam ho!

Us per Hazrat Hasan رضي الله عنه ne farmaya:

My momineen ko zillat main dalne wala nahi, magar my ne badshahi ke liye aap logon se ladna aur jhagadna pasand nahi kiya.

 

(Assaayequl Moharreqa - الصواعق المحرقہ)

 

Is tarha narmi se guftagu wahi kar sakta hai jo Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم ka khoon ho, logon ke tane sun kar pyar lutana koi aam baat nahi.

Tabhi to Allah ke rasool صلى الله عليه وسلم ne farmaya: Mera ye beta musalmano ke do badi qaomon me sulah karwayega.

 

Bukhari shareef ki riwat hai ke! Rasool Allah صلى الله عليه وسلم Hazrat Hasan رضي الله عنه ko khande per utahye huwe irshad frama rahe hain:  Aye Allah! Main is se mohabbat karta ho tu bhi is se mohabbat kar.

Hazrat Abu bakkar رضي الله عنه farmate hain Mian ne Nabi e kareem صلى الله عليه وسلم ko member per irshad framate huwe suna keh mera ye beta musalmano ke do badi qaomon ke darmiyan sulah karwayega. Us waqt Hazrat Hasan رضي الله عنه Nabi e kareem صلى الله عليه وسلم ke pahlo main baithe huwe the – Aap صلى الله عليه وسلم kabhi logon ki taraf nazar e karam farmate aur kabhi Hazrat Hasan رضي الله عنه ki taraf nazar e rahemat farmate.

(Bukhari shareef)

Hazrat Ibn e Umar رضي الله عنه se Bukhari ne riwat kiya hai keh! Nabi e kareem صلى الله عليه وسلم ne irshad farmaya: Hazrat Hasan aur hazrat Husain رضي الله عنهما dunya me meri khushbu hain.

Hazrat Abu sa’eed khudri رضي الله عنه se riwat hai keh: Nabi e kareem صلى الله عليه وسلم ne irshad farmaya: Hazrat Hasan aur hazrat Husain رضي الله عنهما Jannati naujawano ke sardar hain.

(Tirmizi shareef)

Hazrat Usama bin Zaid رضي الله عنه farmate hain:

Main me Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ko dekha ke Hazrat Hasan aur hazrat Husain رضي الله عنهما Aap صلى الله عليه وسلم ke dono rano per baithe huwe hain. Aap صلى الله عليه وسلم ne irshad farmaya: Ye dono mere  bete hain aur meri beti ke bete hain.

Aye Allah Azzawajal! Main in dono se mohabbat karta hon tu bhi in se mohabbat kar aur jo in se mohabbat karta hai tu us se bhi mohabbat kar.

(Tirmizi shareef)

 

Hazrat Umar e farooq رضي الله عنه ki nazar main Ahl e Bayt.

Hazrat Umar رضي الله عنه Nabi e kareem صلى الله عليه وسلم ke qaraabat daaron (Rishtrdaar) ka be-had ehtram karte aur wazaif (pension) main unhein tarjeeh dete they, Hazrat Abdullah bin Abbas bayan karte hain, jab mda'iyn fatah huwa to hazrat Umar ne sara maal e ghanimat masjid Nabwi main farsh (floor) par daal diya, sab se pehlay Hazrat Imam Hasan رضي الله عنه tashreef laaye aur farmaya: Ameer al-momineen! Allah ta’ala ke maal ghanimat main se hamara haq den, aap ne unhein ek hazaar (1000) dirham diye, phir Hazrat Hussain رضي الله عنه tashreef laaye, Unhain bhi ek hazaar (1000) dirham diye, phir aap ke betay (son) Hazrat Abdullah رضي الله عنه tashreef laaye to aap ne unhain paanch sao dirham (500) diye, unhon ne kaha: Ameer al-Momineen! main Nabi e kareem صلى الله عليه وسلم ke ehad mubarak main jawan tha, main aap صلى الله عليه وسلم ke hamrah jehaad main shareek hota tha, jabkay hazraat Hasan o Hussain us waqt chootey bachay thay madinah Munawwara ki galiyo main khela karte thay, aap ne unhein hazaar (1000) dirham dinye aur mujhe sirf paanch sao (500) mera haq unse se ziyada hai. Hazrat Umar ne farmaya: Bete pahle wo fazilat to haasil karo jo hasnain karimain ko haasil hai, phir mujh se hazaar dirham ka mutalba karna, un ke walid Ali رضي الله عنه, waalida Fatima رضي الله عنها, Nana Rasool e khuda, Nani Khadija رضي الله عنها, Chaha jaafar, phuphi Umme hani, Mamu Ibrahim bin Rasool Allah صلى الله عليه وسلم aur khalah Ruqaiyah aur Umm e kulsoom hain, yeh sun kar hazrat Abdullah khamosh ho gaye.

(Riyaz Ul Nazrah Jild 2)

Hazrat Umar رضي الله عنه ke ehad e khilafat main ek din Hazrat Hasan رضي الله عنه aap ke paas tashreef laaye aur dekha: Aap ke betay Hazrat Abdul Allah رضي الله عنه haazri ki ijazat talab karne ke liye khaday hain aur unhen ijazat nah mili - Hazrat Hasan رضي الله عنه yeh khayaal kar ke wapas tashreef le-gaye ke jab unhon ne - apne betay ko ijazat nahi di to mujhe kab den ge - Hazrat Umar ko maloom huwa to aap ne faoran unhen bulaya aur farmaya mujhe tumahray anay ki ittela nahi thi Hazrat hasan ne farmaya main is khayaal se wapas chala gaya ke! jab aap ne – apne betay ko ijazat nahi di to mujhe kab den-ge, Aagey Hazrat Umar رضي الله عنه ne farmaya khuda ki qisam tum ijazat ke sab se ziyada mustahiq ho, Umar ke sir par yeh jo baal uge hin- yeh Allah ke baad tumahray siwa kis ne ugaye hain (yani Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ki barket hai) aur Hazrat Umar رضي الله عنه ne farmaya jab chahay baghair ijazat aajaya karen.

(Assaayequl Moharreqa - الصواعق المحرقہ)

 


 Jaari hai......

مولوی محمد عظمت اللہ نظامی 

No comments:

Post a Comment

Popular posts