Kitab: Fawaid ul fu’ad Nizami - فوائد الفواد
Urdu Tarjuma: Hazrath Syed Khwaja Hasan Sani Nizami (رح).
18th Majlis – Aatharvi(18) Majlis - اٹھارویں مجلس
Page No. 247- صفحہ نمبر
Dua Karne Ka Tareeqah
Irshad Huwa keh Dua ke waqt bande ko chahiye keh na to jo gunah karchuka ho, unka khiyal dil me laye aur na kisi ibadat ka. kyun keh agar us ka khiyal dil main layega to yeh ghuroor hoga. Aur ghamandi ki Dua qubool nahi huwa karti aur agar gunah ka khiyal dil main hoga to Dua ke yaqeen main susti aayegi. Pas Dua ke waqt nazar khaas rehmat e haq ta'ala per rakhni chahiye. Aur yeh yaqeen hona chahiye keh Dua zaroor qubool hogi, agar Allah chahe. Mazeed farmaya keh Dua ke waqt dono haat ek dosre se mile huwe hon, aur seene ke samne hon, aur yeh bhi aaya hai keh dono haath ek dosre se mile huwe rakhne chahiye. aur thoda buland rakhna chahiye aur aisi surat (shakal) banani chahiye keh goya usi waqt koi cheez us ke haat me daali jayegi.
Transliteration by: Hafiz Mohammed Azmatullah Nizami.
Follow this Blog
Fiqhi Masail-Namaz, Roza, Zakat & Digar ke liye yaha click karen
Contact karne ke liye yaha click karen
Allah walon se dosti karna chahate hain to yaha click karen
Dua & Wazaif ke liye yaha click karen
Naat sharee & Salaam ke liye yaha Click karenShare, like twitter Pinterest
Jazak Allah
ReplyDeleteShukriya
Delete