السلام عليكم ورحمة الله وبركاته
بسم الله الرحمن الرحيم
الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على أشرف الأنبياء والمرسلين وعلى آله وصحبه أجمعين أما بعد
Sawal-:
Qur'an O Hadees me Dua-e-Ashura ki kya haisiyat hai?
Jawab:- ✍
Hadees shareef:-
وفي روايةٍ في الترمذي مِنْ حَدِيثِ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ رضي الله عنه عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَآله وسَلَّمَ: 《الدُّعَاءُ مُخُّ الْعِبَادَةِ》
Allah k Rasool صلى الله عليه وسلم ne farmaya Dua ibadat ka magz (asal) hai.
📖 Tirmizi shareef 📖
Upar wali hadees se malom huwa ke ibadat ka magz Dua hai, aur digar Ahadees me bhi dua ki bahot ahmiyat aayi hai, jagah jagah per Allah k Rasool صلى الله عليه وسلم ne dua karne ki nasihat farmayi hai.
Isi tarha Dua e ashura bhi buzrugon se takeed farmayi gayi hai.
Walimah ka Masnoon Waqt
Is dua ko hazart Zain ul aabideen رضي الله عنه se mansoob kiya gaya hai.
Ashura ke din ko dosre dino se ziyada fazilat hai aur isi din bahot sare Anbiya ki dua qubool kigayi hai jis ka saboot hame hadees me milta hai.
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم کو کسی فضیلت والے دن کے روزہ کا اہتمام بہت زیادہ کرتے نہیں دیکھا، سوائے اس دن یعنی یومِ عاشوراء کے اور سوائے اس ماہ یعنی ماہِ رمضان المبارک کے.
Tarjumah:-
Rasool Allah صلى الله عليه وسلم Ramzan ke roze ke bad agar kisi Roze ka ahtemaam karte the to wo Ashura ka roza hai.
Is hadees se bhi sabit huwa ke Ashura ke din ki ahmiyat Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم ke pas bahot ziyada thi.
Lehaza Buzrugon ne Aam logon ko Ashura ke din roza rakhne aur dua karne ka tarikha sikhaya aur kis tarha is din Dua kijaye us ka tarikha sikhaya hai, Lehaza ashura ke din bahot sare Anbiya ki dua qubool huwi hai, usi ko Namona banate huwe logon ko dua ka tarikha sikhaya gaya hai, Jis ko Dua e Ashura kahte hain magar is dua ka zikar hadees me nahi aaya lakin buzrugon ka Amal bhi deen me hujjat banta hai.
Buzrugon ke tarikhe per Amal karna mubah aur mustahab hai.
Dua e Ashura me wahi baten hain jo Anbiya ke duaon ka waseelah hai.
Misal:-
Aye Allah jaise tune aj ke din Hazrat Adam عليه السلام ki dua khubool ki waise hi Hazrat Ibrahim, yousuf, Idrees, Moosa, younus aur dosre tamam Anbiya عليهم السلام ki dua qubool huwi hai. Wise hi aj ke din hum gunahgaaron ki dua ko bhi khubool farma.
Lehaza Dua e ashura 10 muharram ko padh sakte hain, ye ek Mubah aur mustahab Amal hai.
والله أعلم بالصواب
مولوي حافظ محمد عظمت الله نظامي عفی عنہ
Share, like twitter Pinterest
Follow this Blog
Contact karne ke liye yaha click karen
Allah walon se dosti karna chahate hain to yaha click karen
Dua & Wazaif ke liye yaha click karen
ماشآء اللہ العزیز سبحان اللہ العلی العظیم
ReplyDelete