Wednesday, August 4, 2021

Biwi ki zakat shoher adaa karsakta hai ya nahi - بیوی کی زکاة شوہر ادا کرسکتا ہے یا نہیں

 

السلام عليكم ورحمة الله وبركاته

بسم الله الرحمن الرحيم

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على رسول الله صلى الله عليه وسلم O

Sawal:-

Biwi ke pas 30 tola sona (gold) hai, jab ke shoher ke pas 4 mahino (months) se aamadni ka koi zarya nahi hai, lehaza is surat me zakat kis tarha adaa Karenge?

 

Jawa:-

 

Qur'an:-

والذين هم للزكاة فاعلون

(Surah moninoon – 4)

 

Tarjuma:-

(Kamiyaab) Log zakat dene ka kaam karte hain.

 

Masala:-

Jis ka zewar (gold) hai zakat usi per ek saal guzarne per wajib hai, Biwi ke pas sona, chandi aur naqdh raqam (currency) hai to zakat biwi per wajib hai.

Shoher ka biwi ki zakat se koi taalluq nahi hai, haa agar biwi ki darkhwast (request) per shoher adaa karta hai to biwi ki zakat aadaa hojayegi.

 

Agar shoher ke pas job nahi hai aur koi aamadni ka zarya nahi hai to ab is surat me biwi kudh zakat adaa karegi, warna gunahgaar hogi.

 

Zakat dene ki Misaal:

 

Sone ki zakat sone ke zarye.

Chandi ki zakat chandi ke zarye.

Aur naqdh raqam ki zakat raqam se adaa karna chahiye.

 

Dosri Misaal:

Sona, chandi, property aur naqdh raqam ki zakat, naqdh raqam (currency) ke zarye adaa karsakte hain.

 

Jaise ke apke pas 30 tola sona, 10 tola chandi aur naqdh raqam ko mila kar jo raqam banti hai us ka 2.5% raqam adaa karna chahiye.

 

Misal ke taur per 1 tola sona jis ki qimat (market value) Rs. 50000 aur  10 tola chandi jis ki market value 7000 aur cash in hand 1000 hai to kul teeno ki qimat (value) ko jama kiya jayega Rs 58000, aur ab is raqam per 2.5% zakat adaa karna chahiye.

 

 

والله أعلم بالصواب

مولوى حافظ محمد عظمت الله نظامي 

No comments:

Post a Comment

Popular posts