Sunday, August 15, 2021

Panje ya Taziye ka banana, dekhna aur tazeem karna - تعزیہ کا بنانا ، دیکھنا اور تعظیم کرنا

 السلام عليكم ورحمة الله وبركاته

بسم الله الرحمن الرحيم

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على أشرف الأنبياء والمرسلين 

Sawal:-

Panje ya Taziye ka banana, dekhna aur tazeem karna chahiye ya nahi?

 

Jawab:-

Muharram k Panje aur Taziye, se Islam ka koi taalluq nahi hai, Ashurkhana ya makan jisko kaha jata hai jis me panje rakhe jate hai ghair islami Amal hai. In per jo Amal karta hai wo gunahgaar hai.

Isko rokne ki pori koshish ulama ki janab se ki jarahi hai, aur aise bahot sare Ashurkhano ko khatam karke Masajid banadi jarahi hain.

Aj bhi jo log is per Amal karrahe hain wo galat kaam karrahe hain aur gunahgaar bhi hain.

 

Fatawa Razawiyya main hai:

Taziye bid’at hain, jis ka banana aur dekhna jaaiz nahi, aur tazeem wo aqeedat sakht haraam wo ashad bid’at. Allah Subhanahu wo ta’ala musalman bhaiyon ko raah e haq ki hadaayat farmaiye! Ameen.

 Matam karna:

Muharram me matam karna jaiz nahi hai, Albatta Shuhada e Karbala ki yaad me anso bahana aur mahfil e zikr wagaira karna jaiz hai.

Isi tarha Shuhada e Karbala ke esaal e sawab ke liye garibon ko khana khalana aur sharbat pilana jaiz hai.

 حضرت عبد اللہ مسعود رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: جو رخسار پیٹے، گریبان پھاڑے اور دور جاہلیت کی طرح چیخے چلائے وہ ہم میں سے نہیں ہے۔'

 Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne farmaya jo matam kare aur gareban phade aur jahiliyat ke zamane ke kaam kare wo hum me se nahi.

 📖 Bukhari shareef 📖

 والله أعلم بالصواب

مولوي محمد عظمت الله نظامي 


 
http://taleemaat.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment

Popular posts