السلام عليكم ورحمة الله وبركاته
بسم الله الرحمن الرحيم
الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على أشرف الأنبياء والمرسلين وعلى آله وصحبه اجمعين
سوال:-
مکروہ کیا ہے اور کسے کہتے ہیں؟
Sawal:-
Makrooh kya hai aur kisay kahte hain?
جواب: - ✍
مکروہ کے بارے میں اجازت اور ممانعت دونوں طرف سے دلائل ہوتے ہیں، چنانچہ فقہاء نے مکروہ کی دو (2) قسمیں بیان کی ہیں:
1۔ مکروہِ تحریمی
اُس مکروہ کو کہتے ہیں جو کہ اس میں حرمت کے دلائل غالب اور قوی ہیں اس لیے یہ حرام کے قریب تر ہے۔
2۔ مکروہِ تنزیہی
اُس مکروہ کو کہتے ہیں جس میں اجازت کے دلائل حرمت کے مقابلے میں غالب اور قوی ہوں، اس لیے یہ حرام کے مقابلے میں حلال کے زیادہ قریب ہے۔
مکروہِ تحریمی گناہ ہوتا ہے اور مکروہِ تنزیہی گناہ نہیں ہوتا ، مکروہِ تحریمی واجب کے مقابلے میں اتا ہے اور مکروہِ تنزیحی سنتِ غیر مؤكدہ کے مقابلے میں اتا ہے، مکروہِ تحریمی کا ارتکاب کریں گے تو اس پر گناہ بھی ہے اور عذاب کی وعید بھی ہے۔
مکروہِ تنزیہی کو ترک کریں گے تو سنت پر عمل ہوگا اور اگر مکروہِ تنزیہی کا ارتکاب کریں گے تو اس پر گرفت نہیں ہے اور سزا یا عذاب بھی نہیں۔
Machali zibah kiye bina halal kaise? - مچھلی ذبح کیے بغیر حلال کیسے؟
Jawab: - ✍
Makrooh ke baray main ijazat aur momani’at dono taraf se dala’il hotay hain, chunancha fuqha ne makrooh ki do (2) kismain bayan ki hain:
1- Makrooh e Tahrimi
Uss makrooh ko kehte hain jo ke iss main hurmat ke dala’il ghalib aur Qawi hain is liye yeh haraam ke qareeb tar hai.
2- Makrooh e Tanzihi
Uss makrooh ko kehte hain jis main ijazat ke dala’il hurmat ke muqablay main ghalib aur Qawi hon, is liye yeh haraam ke muqablay main halal ke ziyada qareeb hai.
Makrooh e Tahrimi gunah hota hai aur Makrooh e Tanzihi gunah nahi hota, Makrooh e Tahrimi wajib ke muqablay main ata hai aur Makrooh e Tanzihi sunnat-e-ghair mu’akkada ke muqablay main ata hai, makrooh e Tahrimi ka irtikaab karne par gunah bhi hai aur azaab ki waeed bhi hai.
Makrooh e Tanzihi ko tark karen ge to sunnat par amal hoga, aur agar Makrooh e Tanzihi ka irtikaab karen ge to is par girift nahi hai aur saza ya azaab bhi nahi.
والله ورسوله اعلم بالصواب
محمد عظمت الله نظامي عفی عنہ
Share, like, twitter, Pinterest
Follow this Blog
Fiqhi Masail-Namaz, Roza, Zakat & Digar ke liye yaha click karen
Contact karne ke liye yaha click karen
Allah walon se dosti karna chahate hain to yaha click karen
No comments:
Post a Comment