Tuesday, October 15, 2024

گروی رکھے ہوئے گھر سے نفع اٹھانے کا شرعی حکم - Girvi rakhe huye ghar se nafa uthane ka shar'ee hukm

 

 

بسم الله الرحمن الرحيم

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على أشرف الأنبياء والمرسلين وعلى آله وصحبه اجمعين

 سوال:-

السلام عليكم!

گھر لکھا لے کے اُسي گھر میں رہنا کیسا ہے؟ یا گھر لکھا لے نے کے بعد کرائے کو دینا کیسا ہے؟

Sawal:-

Assalamualaikum!

Ghar likha le ke usi ghar mein rehna kaisa hai? Ya Ghar likha lene ke baad kiraye par dena kaisa hai?

سود کی رقم سے بیماری کا علاج - Soodi raqam se bimari ka ilaaj 

جواب:-

وعليكم السلام

گھر لکھا لے کے (گروی رکھ لیکر) قرض دینے کی دو صورتیں ہیں:

ایک مجبوری اور بےبسی کی صورت میں مکان گروی رکھ کر لیا گیا قرض، اور دوسرا کاروبار کے لیے مکان گروی رکھ کر لیا گیا قرض۔ ان دو صورتوں کے مطابق ان کے احکام مختلف ہیں۔

1)   اگر کوئی شخص مجبوری میں اپنی کوئی چیز (جیسے مکان، دکان یا زمین) گروی رکھ کر قرض لیتا ہے، تو قرض دینے والا اس گروی رکھی ہوئی چیز سے کوئی فائدہ نہیں اٹھا سکتا۔ مثال کے طور پر، اگر کسی نے ایک لاکھ روپیہ قرض دیا اور بدلے میں مکان یا دکان (ضمانت کے طور پر) گروی رکھلی، تو قرض دینے والا اس مکان یا دکان کا فائدہ نہیں اٹھا سکتا۔ اگر وہ فائدہ اٹھاتا ہے، تو قرض واپس لیتے وقت وہ فائدہ اصل قرض کی رقم سے کم کرے گا۔ اگر وہ فائدہ کم نہیں کرتا، تو یہ سُود کہلائے گا، جو حرام ہے۔

2)  دوسری صورت جو گروی کی ایک نئی شکل ہے کہ لوگ کاروبار کرنے کے لیے اپنا مکان، پلاٹ، دکان یا زمین گروی رکھ کر قرض لیتے ہیں۔ اس میں ایک فریق (قرض دینے والا) گروی رکھی ہوئی چیز سے فائدہ اٹھاتا ہے، جبکہ دوسرا فریق (قرض لینے والا) قرض کی رقم سے کاروبار کرتا ہے اور اچھی کمائی کرتا ہے۔ یہ کاروبار کی ایک نئی شکل ہے کیونکہ دونوں فریقین مجبوری کے بغیر اپنی مرضی سے فائدہ اٹھانے کے لیے یہ معاہدہ کرتے ہیں۔ چونکہ دونوں کو فائدہ ہوتا ہے، اس لیے یہ طریقہ جائز ہے۔

لہٰذا معاہدہ کرتے وقت ان تمام باتوں کی وضاحت ضروری ہے کہ قرض لینے اور رہن (گروی) رکھنے کی وجہ کیا ہے۔

اگر قرض لینے والا گھر کو استعمال کرنا چاہے تو گھر کے مالک کی اجازت لینا ضروری ہے، اور اس سے کوئی تجارتی فائدہ نہ اٹھایا جائے۔
بینک سیونگ اکاؤنٹ کے اضافی رقم کی شرعی حیثیت - Bank Savings Account ke izafi raqam ki shara'ee haisiyat 

Jawab:-

Walaikum Assalam!

Ghar likha le ke (gharwi rakh le kar) qarz dene ki do soortein hain:

Ek majboori aur be-basi ki surat mein makan gharwi rakh kar liya gaya qarz, aur doosra karobar ke liye makan gharwi rakh kar liya gaya qarz. In dono sooratun ke mutabiq inke ahkaam mukhtalif hain.

1) Agar koi shakhs majboori mein apni koi cheez (jaise makan, dukan ya zameen) gharwi rakh kar qarz leta hai, to qarz dene wala us gharwi rakhi hui cheez se koi faida nahi utha sakta. Misaal ke tor par, agar kisi ne ek lakh rupay qarz diya aur badle mein makan ya dukan (zamanat ke tor par) gharwi rakh li, to qarz dene wala us makan ya dukan ka faida nahi utha sakta. Agar wo faida uthata hai, to qarz wapas lete waqt wo faida asal qarz ki raqam se kam karega. Agar wo faida kam nahi karta, to ye sood kehlayega, jo haram hai.

2) Doosri soorat jo gharwi ki ek nayi shakl hai, yeh hai ke log karobar karne ke liye apna makan, plot, dukan ya zameen gharwi rakh kar qarz lete hain. Is mein ek fareeq (qarz dene wala) gharwi rakhi hui cheez se faida uthata hai, jabke doosra fareeq (qarz lene wala) qarz ki raqam se karobar karta hai aur acchi kamai karta hai. Yeh karobar ki ek nayi shakl hai kyun ke dono fareeq majboori ke baghair apni marzi se faida uthane ke liye yeh moahida karte hain. Chunanche, jab dono ko faida hota hai, to yeh tareeqa jaiz hai.

Lihaza moahida karte waqt in tamam baaton ki wazahat zaroori hai ke qarz lene aur rahn (gharwi) rakhne ki wajah kya hai.

Agar qarz lene wala ghar ko istemal karna chahe, to ghar ke malik ki ijaazat lena zaroori hai, aur is se koi tijarati faida na uthaya jaye.

والله ورسوله اعلم بالصواب
محمد عظمت الله نظامي عفی عنہ

 

 

Like & Share on WhatsappFacebook, twitter, Pinterest

Follow this Blog.

https://taleemaat.blogspot.com/

Fiqhi Masail-Namaz, Roza, Zakat & Digar ke liye yaha click karen

Contact karne ke liye yaha click karen

Allah walon se dosti karna chahate hain to yaha click karen

Dua & Wazaif ke liye yaha click karen

Naat shareef & Salaam ke liye yaha Click karen

 

No comments:

Post a Comment

Popular posts