بسم الله الرحمن الرحيم
السلام عليكم ورحمة الله وبركاته
الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على أشرف الأنبياء والمرسلين وعلى آله وصحبه أجمعين أما بعد ○
Sawal:-
Nabi e kareem صلى الله عليه وسلم ko 63 saal ki umar me Allah is duniya se kyun apni taraf leliya ???
Jawab:-✍
Insaan ki paidaiesh aur mout ka din us ki paidaiesh se pehlay hi muqarrar hojata hai, aur jab aadmi ki mout ka muqarrarah waqt ajata hai to is mein jaldi ya deri aur tabdeeli nahi hoti.
Qur'an shareef:-
فَاِذَا جَآءَ اَجَلُهُمْ لَا یَسْتَاْخِرُوْنَ سَاعَةً وَّ لَا یَسْتَقْدِمُوْنَ.
Is aayat ka ma'ana ye hai ke, har kisiki mout ka waqt muqarrar hai. Jab wo waqt aayega to ek lamha na aage hoga na piche hoga.
Allah pak ne taqeer lohe mahfooz me pahle hi apne ilm ke mutabiq likhdi hai.
Har Nabi aur Rasool ko Allah pak ne ek maqsad (Islam ki tableeg) se is dunya me bheja tha jab wo maqsad pora hojata tha to Allah pak Anbiya عليهم السلام ko apni taraf bulaleta tha.
Isi tarha Rasool Allah صلى الله عليه وسلم bhi is dunya me ek maqsad ke tahet bhejegaye the jab wo maqsad pora hogaya to Allah ne Apne habeeb ko apni tar bulaliya. Jaise ke Qur'an me hai.
Qur'an shareef:-
لَقَدۡ مَنَّ اللّٰہُ عَلَی الۡمُؤۡمِنِیۡنَ اِذۡ بَعَثَ فِیۡہِمۡ رَسُوۡلًا مِّنۡ اَنۡفُسِہِمۡ یَتۡلُوۡا عَلَیۡہِمۡ اٰیٰتِہٖ وَ یُزَکِّیۡہِمۡ وَ یُعَلِّمُہُمُ الۡکِتٰبَ وَ الۡحِکۡمَۃَ ۚ وَ اِنۡ کَانُوۡا مِنۡ قَبۡلُ لَفِیۡ ضَلٰلٍ مُّبِیۡنٍ
Tarjuma:-
Beshaq ALLAH ne musalmano par bada Ehsaan farmaya k unme unhi me se (Azmat wala) RASOOL صلى الله عليه وسلم bheja jo un par Allah ki aayatein padhta aur unhen kitab o hikmat ki taalim deta hai, agarche wo log isse pehle khuli gumrahi me the.
Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم sari insaniyat ko Islam ki dawat dene ke liye tashreef laye the, Jab ye kaam mukammal huwa to Allah pak ne jaise apne habeeb صلي الله عليه وسلم ko apne pas se hamare pas bheja tha waise hi maqsad khatam hone per apne paas bulaliya, jis ka zikar Qur'an me hai.
اَلْیَوْمَ اَكْمَلْتُ لَكُمْ دِیْنَكُمْ وَ اَتْمَمْتُ عَلَیْكُمْ نِعْمَتِیْ وَ رَضِیْتُ لَكُمُ الْاِسْلَامَ دِیْنًاؕ-
Tarjuma:-
آج میں نے تمہارے لیے تمہارا دین کامل کردیا اور تم پر اپنی نعمت پوری کردی اور تمہارے لیے اسلام کو دین پسند کیا.
Aaj main ne tumhare liye tumhara deen mukammal kardiya aur tum per apni nayamat pori kardi aur tumhare liye deen e Islam ko pasand kiya.
Nabi e pak صلى الله عليه وسلم is dunya me islam ki tableeg ke liye bhejegaye the lehaza jab deen mukammal hogaya to phr kya tha ke Allah pak ne apne habeeb ko apni taraf bulaliya jis ke bare me Hazrat Abubakar رضي الله عنه farmate hain ke jis din ye aayat nazil huwi usi waqt meri ankhon me ansoo aagye aur my samajhgaya ke ab hum se Allah ke Rasool ke judai ka waqt aagaya.
Hadees shareef:-
وَعَنْهُ قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «أَعْمَارُ أُمَّتِي مَا بَيْنَ السِتِّينَ إِلَى السَبْعِينَ وَأَقَلُّهُمْ مَنْ يَجُوزُ ذَلِكَ» . رَوَاهُ التِّرْمِذِيُّ وَابْنُ مَاجَهْ
Tarjuma:-
Hazrat Abu hurairah رضى الله عنه se riwayat hai ke Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم ne farmaya meri ummat ki umar 60 ya 70 saal ke darmiyan hogi.
📗 Tirmizi wo Ibn e Majah📗
Nabi e pak صلى الله عليه وسلم ko hum se ziyada Allah pak mohabbat farmata hai us ke bawajood Allah ne apne habeeb ko hamare darmiyan Islam ki tableeg ke liye bheja jab wo maqsad pora hogaya to Allah pak ne apni taraf apne habeeb صلي الله عليه وسلم bulaliya.
والله أعلم بالصواب.