Sunday, July 18, 2021

Kya Mumere Mamu se Nikah karna jayez hai-کیا مومیرے ماموں سے نکاح کرنا جائز ہے


  السلام عليكم ورحمة الله وبركاته 

بسم الله الرحمن الرحيم 

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على أشرف الأنبياء والمرسلين وعلى آله وصحبه أجمعين أما بعد 

Sawal:-

Kya Mumere Mamu se Nikah karna jayez hai?


Jawab:✍🏻

Quran Majeed mein Allah ta’aala ne muharmat-e-nikah ki mukammal fehrist bayan ki hai.

Surah al-Nisaa mein hai ke:


حُرِّمَتْ عَلَيْكُمْ أُمَّهَاتُكُمْ وَبَنَاتُكُمْ وَأَخَوَاتُكُمْ وَعَمَّاتُكُمْ وَخَالاَتُكُمْ وَبَنَاتُ الْأَخِ وَبَنَاتُ الْأُخْتِ وَأُمَّهَاتُكُمُ اللاَّتِي أَرْضَعْنَكُمْ وَأَخَوَاتُكُم مِّنَ الرَّضَاعَةِ وَأُمَّهَاتُ نِسَآئِكُمْ وَرَبَائِبُكُمُ اللاَّتِي فِي حُجُورِكُم مِّن نِّسَآئِكُمُ اللاَّتِي دَخَلْتُم بِهِنَّ فَإِن لَّمْ تَكُونُواْ دَخَلْتُم بِهِنَّ فَلاَ جُنَاحَ عَلَيْكُمْ وَحَلاَئِلُ أَبْنَائِكُمُ الَّذِينَ مِنْ أَصْلاَبِكُمْ وَأَن تَجْمَعُواْ بَيْنَ الْأُخْتَيْنِ إَلاَّ مَا قَدْ سَلَفَ إِنَّ اللّهَ كَانَ غَفُورًا رَّحِيمًا. وَالْمُحْصَنَاتُ مِنَ النِّسَاءِ إِلاَّ مَا مَلَكَتْ أَيْمَانُكُمْ كِتَابَ اللّهِ عَلَيْكُمْ وَأُحِلَّ لَكُم مَّا وَرَاءَ ذَلِكُمْ أَن تَبْتَغُواْ بِأَمْوَالِكُم مُّحْصِنِينَ غَيْرَ مُسَافِحِينَ فَمَا اسْتَمْتَعْتُم بِهِ مِنْهُنَّ فَآتُوهُنَّ أُجُورَهُنَّ فَرِيضَةً وَلاَ جُنَاحَ عَلَيْكُمْ فِيمَا تَرَاضَيْتُم بِهِ مِن بَعْدِ الْفَرِيضَةِ إِنَّ اللّهَ كَانَ عَلِيمًا حَكِيمًا.


Translation:

Tum par tumhari maaen (Mother and grandmothers) aur tumhari betiyan (daughters) aur tumhari behnain (Sisters) aur tumhari phophiyan (father’s sister) aur tumhari Khala (sisters of mother) aur bhtijyan (daughter of brother) aur bhanjiyan (daughters of sister) aur tumhari ( woh ) maaen (mother) jinhon ne tumhe doodh (Milk) pilaya ho aur unki betiyan (jo tumhari razaat mein shareek behnain) aur tumhari biwion ki maaen (mother and grnad mother of wife) sab haraam kar di gayi hain, aur ( isi terhan ) tumhari goad (Lap) mein parwarish panay wali woh larkiyan jo tumhari un aurton ( ke pet ) se hain jin se tum sohbat kar chuke ho ( bhi haraam hain ), phir agar tum ne un se sohbat nah ki ho to tum par ( un ki lardkiyon se nikah karne mein ) koi harj nahi, aur tumahray un beton ki biwiyan ( bhi tum par haraam hain ) jo tumhari pusht se hain, aur yeh ( bhi haraam hai ) ke tum do behnoon ko ek sath ( nikah mein ) jama karo, siwaye iske ke jo dour jahalat (period of before Islam) mein guzar chuka. bay shak Allah barda bakhsnay wala meharban hai. aur shohar wali aurtain ( bhi tum per haram hain ) siwaye un ( jungi qaidi aurton ) ke jo tumhari Milkiyat mein ajayeen, ( In Ehkaam hurmat ko ) Allah ne tum par farz kar diya hai, aur un ke siwa (sab aurtain ) tumahray liye halal kar di gayi hain taakay tum – apne amwal (property) ke zariye nikah karo pak daman rehtay hue naa ke shehwat zani karte hue, phir un mein se jin se tum ne is ( maal (property) ) ke badle faida uthaya hai, Unhen un ka muqarrar shuda mehar adaa kar do, aur tum par is maal ke baray mein koi gunah nahi jis par tum mehar muqarrar karne ke baad baa-hum (each other) Raza mand ho jao, bay shak Allah khoob jan-nay wala bardi hikmat wala hai.



Details:-

1 - Nasab se haram


➡ Maa (Haqeeqi, sauteli Maa, Dadi, Nani) 


➡ Beti (poti, nawasi) 


➡ Bahen (khaas bahen aur sauteli bahen)


➡ Phuphi (Baap ki bahen, khaas ho ya sauteli)


➡ khala (Maa ki bahen, khaas ho ya sauteli) 


➡ Bhatiji (Bhai ki beti, khaas ho ya sauteli) 


➡ Bhanji (Bahen ki beti, khaas ho ya sauteli) 


2- Doodh peene ki wajhe se haram.


Jis tarha nasab se haram hain waise hi doodh peene ki wajh se bhi haraam hoti hain.

 Doodh peelane wali Maa aur uski betiyan, bahen, phuphi, Khala, bhatiji aur bhanji se bhi nikah nahi hosakta.


3- Rishte ki wajhe se haram


➡ Biwi ki Maa (Saas)


➡ Biwi ki pahle shoher ki beti.


➡ Bete ki biwi (Bahu) 


➡ Do baheno se ek sat nikah karna (Ek bahen se nikah kiya to sali us waqt tak haram hai jab tak uski bahen nikah me hai, Talaq ya marne ke bad sali se bhi nikah jaiz hai)


➡ khala aur bhanji aur phuphi aur bhatiji, dono ek mard ke sat ek waqt me nikah haram hai.


➡ Chachi aur Mami se us waqt tak nikah haram hai jab tak wo chacha ya mamu ke nikah me hain, talaq hone ya bewa hone ke bad chachi aur mami se bhi nikah jaiz hai, magar un me koi bhi uper wali 3 lists me na ho.


 *Riza'at wala rishta sabit na huwa to Lehaza pochi gayi surat me nikah jaiz hai.


Ladki apni maa ke mamu ke bate se nikah karsakti hai.* 


والله أعلم بالصواب

حافظ مولوی محمد عظمت اللہ نظامی 

1 comment:

  1. Masha ALLAH Bahut Hi Asaan Alfaaz Me Pesh Kiya Gaya Hai Jawaab
    ALLAH Taãla Maqbool Farkar Mazeed Urooj O Bulandi Ata Farmaye

    ReplyDelete

Popular posts