Wednesday, July 14, 2021

Manqibat: Hafiz Munawar Hasan Nizami, Adoni


 Hafiz Munawar Hasan Nizami, Adoni.











.....Kharaj e Aqeedat ....

Baargah-e-Qutub-ad-Dawair Hazrat Syed Sha Tahir Qadri رحمة الله عليه

 

Aap ki yaadon se jo maqmoor hai mastaan hai 
Deen o dunya me niraala mutabar zishaan hai.

 

Mil rahi hai har shifa jo aap ke darbar se 
Hazrat e Tahir ka dar , har dard ka dramaan hai .

 

Ghaus e Azam shah e jeelan ki nigah e faiz se 
Shah Tahir qadri ka har taraf faizaan hai .

 

Deen ka danka bajaya aap ne is shahr me 
Shah Tahir qadri ka ham pe ye ehsaan hai .

 

Pas jos ke kuch nahi hai hath bhi khali magar 
Aap ke dar ka sawali dahr me sultaan hai .

 

Qalb o jaan me is tarah roshan hai ulfat aap ki 
Makhzan e dil me chamakta ishq ka marjaan hai .

 

Meri qismat bhi sanwar jayegi aur hoga karam 
Aap ki nazar e inaayat ka mujhe armaan hai .

 

Mannaten ho ya muraaden puri hoti hain yahan 
Aap data hain sabhon k ye mera eiqaan hai .

 

Ek Hasan kya aap par sara shaher hai jaan fida 
Shah Tahir qadri par ghar ka ghar qurbaan hai .
************************************************************************ 

No comments:

Post a Comment

Popular posts