حاضری کے آداب
Hazri Ke Aadaab
Hazrat Khwaja Syed Hasan Sani Nizami (رح)
Mureed, chahe apne peer ki khidmat me hazir ho chahe digar buzrugaan-e-silsilah main se kisi ke mazar per hazir ho, Usko chahiye ba-wazu rahe, be-zarorat idhar udhar ki baten na kare, buland awaz se na bole, jahan tak hosake khamoosh baitha rahe, peer ki talqeen ko dihyaan se sune aur girah me bandhle. Kuch pochna ho to ahista se aur adab se puche.
Mazaar per hazir ho to pori tawajho se kahda hojaye aur tareeqhe ke mutabiq fatiha padhe aur sahib-e-mazar ki khidmat main is ka sawab nazar kar ke Unke wasile se bargah-e-Ilahi (Allah se) main Dua mange aur sahib-e-mazar ki batini tawahjje aur inaayaat ka talib ho.
Follow this Blog
Fiqhi Masail-Namaz, Roza, Zakat & Digar ke liye yaha click karen
Contact karne ke liye yaha click karen
Allah walon se dosti karna chahate hain to yaha click karen
Dua & Wazaif ke liye yaha click karen
Naat sharee & Salaam ke liye yaha Click karenShare, like twitter Pinterest
No comments:
Post a Comment