Friday, July 23, 2021

Namaz takheer se padhna - نماز تاخیر سے پڑھنا

 

بسم الله الرحمن الرحيم

السلام عليكم ورحمة الله وبركاته 

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على أشرف الأنبياء والمرسلين وعلى آله وصحبه أجمعين أما بعد○

Sawal:- 

kya Namaz takheer se padh sakhta hai? Maslan zohar ki namaz 3 ya 3:30 ko Ada karsakte hain?


Jawab:- ✍🏻

Namaz ke liye bila wajhe takheer nahi karna chahiye. (Jaise ke susti ki wajah se namaz ko der se adaa karna durust nahi hai).

Qur’an:

 اِنَّ الصَّلٰوةَ كَانَتْ عَلَى الْمُؤْمِنِیْنَ كِتٰبًا مَّوْقُوْتًا

Tarjuma:

Be-shak namaz muqarrah waqt me musalmano per farz hai.

Is aayat se malom hota hai ke namazon ko unke auqaat (timing) me adaa karna chahiye. Bila zarorat namaz ko aakhiri waqt me adaa karna nahi chahiye. Koi wajah aise bani ke jis ki wajah se jamat me shamil na hosake, to phr pahli fursat me us waqt ki namaz ko uska waqt khatam hone se pahle adaa Karley to namaz adaa hojayegi. 

Namazon ke auqaat (Timing)

Fajar ki namaz ka waqt sher ke khatam hone se shuru hota hai aur suraj ke nikal ne se pahle tak rahta hai.

Zohar ka waqt zawaal se lekar kisi bhi cheez ka saya (shadow) do misl (double) hone tak rahta hai.

Asar ka waqt kisi bhi cheez ka saya (shadow) do misl (double) hone ke bad se shuru hota hai aur suraj ghuroob hone tak rahata hai.

Magrib ka waqt suraj ghuroob hone ke bad se Aasman ki safedi pori tarha se khatam hone tak rahta hai.

Isha ka wqat Aasman ki safedi pori tarhe se khatam hone se lekar subha saher ke waqt tak rahta hai.

Jo namazen unke waqt ke ander padhi gayi wo adaa hogayi.

Jaise ke apne sawal kiya, Zohar ki namaz 3 ya 3:30, ko padhi hai, chunke aj kal mazkurah (mentioned time) waqt Zohar ka waqt hi hai lehaza apki namaz to hogayi, Magar yaad rahe ke namaz ke auqaat (timing) mosam ke lehaz se badalte (change) rahte hain, lehaza namazon ka timetable apne pas rakeh aur usko follow Karen taake namazon ko unke auqaat per adaa karsaken. 


وَاللہُ اَعْلَمُ عَزَّوَجَلَّ وَرَسُوْلُہ اَعْلَم صَلَّی اللّٰہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَسَلَّم

حافظ مولوی محمد عظمت اللہ نظامی 

No comments:

Post a Comment

Popular posts