Friday, July 16, 2021

Kya Oonghne se wazu toot jata hai - کیا اونگھ آنے سے وضو ٹوٹ جاتا ہے


 بسم الله الرحمن الرحيم 

 السلام عليكم ورحمة الله وبركاته 

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على أشرف الأنبياء والمرسلين وعلى آله وصحبه أجمعين أما بعد 


Sawal:- 

Dauran-e-tilawat neend ka jhounka aaye to kya wazu dubara karna chahiye?


Hazrat Aadam (عليه السلام) ne Mohammed Rasool Allah (صلى الله عيله وسلم) ke waseela se dua ki. - حضرت آدم علیہ السلام نے محمد رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے وسیلہ سے دعا کی۔

 

Jawab:- ✍🏻

Pahle to ye dekha jayega ke neend kitni gehri thi.

Baithe baithe itni gehri neend aagayi ke apko kudh ka Hosh na raha ya phr Zameen per girjaye ya kisi cheez ko taik (sahara) lagaye the usko hatane se ap girjate, ya phr aap itni gheri neend me chalegaye ke apke dono surreen (bombs) me se ek Zameen se juda hogaya, yane apko apna Hosh na raha ke ap ka ek bomb uthgaya jsi ki wajhe se apko Hosh aaya, aisi tamam suraton me wazu tooth jata hai.


Panje ya Taziye ka banana, dekhna aur tazeem karna - تعزیہ کا بنانا ، دیکھنا اور تعظیم کرنا


Laikin baithe baithe itni halki neend aagyi ke thoda sa jhulte hi neend chaligayi ya ke ap ko itna Hosh raha ke aapke as pas walon ki baten sunayi derahi thi, 

Aur apko kudh ko pakka yaqeen hai ke itni gehri neend nahi thi ke jisam ke sare parts (hisse) dheele nahi huwe the, to in sab suraton me wazu nahi tootta.


Bacche ka Naam “Azaan” rakhna kaisa hai?- بچے کا نام "اذان" رکھنا کیسا ہے؟


Sirf oonghne se bhi wazu nahi tootta, balke apko yaqeen hojaye ke apko Hosh na raha to us surat me wazu toot jata hai.


Oonghne se wazu nahi tootta jab ke insan ka itna hosh bakhi rahe ke pas ke logon ki baten sunayi derahi hon. 

📗fatawa Razwiya 📗

📗Dur rul Mukhtaar📗


والله أعلم بالصواب

مولوي حافظ محمد عظمت الله نظامي عفی عنہ

 

Follow this Blog

Fiqhi Masail-Namaz, Roza, Zakat & Digar ke liye yaha click karen

Contact karne ke liye yaha click karen

Allah walon se dosti karna chahate hain to yaha click karen

Dua & Wazaif ke liye yaha click karen

Naat sharee & Salaam ke liye yaha Click karen

  

1 comment:

Popular posts