Monday, July 26, 2021

Juma Mubarak kahna-جمعہ مبارک کہنا

 

السلام عليكم ورحمة الله وبركاته

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على أشرف الأنبياء والمرسلين وعلى آله وصحبه أجمعين أما بعد 

Sawal:- 


Hazrat Juma ke din ki mubarak bad dena kaisa hai? kuch log kehte hain yeh bidat hai quran wo hadees ki roshni mein jawab inayat farmaen meharbani hogi.


Jawab:- ✍🏻

Juma ki mubarak bad dena mustahab wo mustahsan hai, matlab juma ka din ba-barkat hone ki dua dena hai, aur barket walay din barket ki dua denay mein koi harj nahi hai, Albatta is mubarak bad denay ko lazim ya zarori samajhna, aur mubarak bad na denay walay ko bura samjhna aur bura kehna, durust nahi hai.


Islam ne juma ke din ko barkat wo rahmat wala din kaha hai, lehaza Juma Mubarak se murad Apne islami bhai ko dua dena hai, aur Dua ibadat hai jis ke badle me Allah ke pas ajar, sawab hasil hota hai.


Sharayi nazar se is ko dekha jaye to jis kaam se Shari'at mana na kare wo kaam jaiz aur mustahab Amal hota hai.


Jaise ke Hadees shareef me hai.


*("اَلْحَلاَلُ مَااَحَلَّ اللّٰہُ فِیْ کِتَابِہٖ وَالْحَرَامُ مَاحَرَّمَ اللّٰہُ فِیْ کِتَابِہٖ وَمَاسَکَتَ عَنْہُ فَھُوَمِمَّاعَفَاعَنْہٗ")*


📗Tirmizi shareef 📗


Tarjuma:- 

Halal wo hai jis ko Allah ne apni kitab (Qur'an) me halal kiya, Haram wo hai jis ko Allah ne apni kitab (Qur'an) me haram kiya, aur jisse khamoshi ikhtiyaar farmayi, (jis ki koi na koi misal milti hai) wo maaf hai. 


Juma ka din hamaray liye mubarak aur acha hai aur Mubarak aur achi baat ki mubarak bad dena, is ki misal sahaba ke Amal se milti hai.


Jaise ke Eid ki Mubarak bad dete hain jis ki wajha yahi hai ke Eid ka din Mubarak hota hai,  


تقبل الله منا ومنكم صالح الأعمال 

 

Tarjuma:- 

Sahaba ek dosre ko is tarha Eid ki dua diya karte the.

Allah apke aur hamare neek aamal ko qubool farmaye.

والله أعلم بالصواب

حافظ مولوی محمد عظمت اللہ نظامی 

No comments:

Post a Comment

Popular posts