Kitab: Taleem Asrar e Tasauuf
Musannif: Hazrat Syed Khwaja Hasan Nizami (رح)
Khud Mashaikh bhi mahenat se kamayen
Main shayad ek badi gustakhi karonga agar Hazraat e Mashaikh se yeh arz karon ke kudh unko bhi mahenat wo mashaqqat se apni rozi hasil karni chahiye magar ye gustakhi nahi hai balke aane wale khatre ki ettela hai, hukumat ke usolon me ye baat dakhil hai ke koi shaksh nikamma na rahe, wo padriyon ko bhi nikamma nahi rahne dete aur unse bhi zori kamane ke liye jabaran mahenat lete hain to kya Mashaikh e hind isi tarha baithe rahenge aur unse nahi kaha jayega ke wo bhi koi kaam Karen aur apni zori mahenat wo mashaqqat se kamayen.
Is siyasi andeshe ke alawa mazhaban aur tareeqatan bhi Mashaikh ko apni rozi kudh kamani chahiye.
Musalmano ke ibtedayi zamane me har Sofi buzrug koi na koi pesha karte the. Chunanche Lohan, carpenter, rassi banane wale aur qassab wagairah peshon ke sadhaa Auliya Allah guzar chuke hain. Bad ke zamane me yeh peshawari is waste baqi nahi rahi ke daulat ki kasrat aur kitno ke hujoom ne Mashaikh ke faraiz e hidayat ko is qadar badha diya tha ke wo kush mahenat kar ke rozi kamane ka waqt na bacha sakte the.
Khawab main peer O murshid ko dekhna
Is ke alawa khalqat ki taraf se unki khidmat aur imdad is kasrat se huyi thi ke har durwesh ma'ash (rozi) ki taraf se mutma'in rahta tha, us ko aj kal ki tarha mureedon se rupiya hasil karne ke liye tarha tarha ke naa'jaiz heele na karne padhte the. Hazrat khwaja saheb Ajmeri (رح) kashtkari karte the.
Agar Mashaikh kasbe ma'aash ke liye tijarat ya San'at ke kam shuru kardenge to khuda (Allah) ke samne bhi unki izzat hogi aur mureedeen me bhi un ki izzat badhegi aur ye kamzori bhi door hojayegi jo aj kal un me kasbe zar ki wajhe se payi jati hai, ke mureedon se rupiya lene ke liye narawaa (nazeba) kaam karte hain aur us se unke zameer wo ahsas ko takleef rahti hai, agar unhon ne mere likhne per tawajhe farmayi to chand roz me unko taskeen e ahsas ki na'amat hasil hojayegi, aur unke mureed bhi unki taqleed karke is na'amat se maala maal hojayenge.
Follow this Blog
Fiqhi Masail-Namaz, Roza, Zakat & Digar ke liye yaha click karen
Contact karne ke liye yaha click karen
Allah walon se dosti karna chahate hain to yaha click karen
Dua & Wazaif ke liye yaha click karen
Naat sharee & Salaam ke liye yaha Click karenShare, like twitter Pinterest
No comments:
Post a Comment