السلام عليكم ورحمة الله وبركاته
بسم الله الرحمن الرحيم
الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على أشرف الأنبياء والمرسلين وعلى آله وصحبه أجمعين أما بعد
سوال:-
کیا قربانی کے بدلے نقد رقم (پیسے) کسی غریب کو صدقہ کرسکتے ہیں؟
Sawal:-
Kya Qurbani ke badle naqd raqam (paisay) kisi ghareeb ko sadqa karsakte hain ?
Maqrooz per qurbani ka hukum - مقروض پر قربانی کا حکم
جواب:-✍🏻
صاحب نصاب مسلمان مرد اور عورت پر ایامِ نحر (قربانی کے دنوں میں "10 ذوالحجہ عید کی نماز کے بعد سے بارہویں 12 ذوالحجہ کے غرب آفتاب تک") جانور قربان کرنا واجب ہے۔ قربانی کی قیمت صدقہ کرنے سے واجب ادا نہیں ہوگا۔ عید کے دن کا صدقہ یہی ہے کہ جانور ذبح کر کے اس کا گوشت صدقہ دیں۔
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے ارشاد فرمایا:
عَنْ عَائِشَةَ رَضِىَ اللَّهُ عَنْهَا، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: مَا عَمِلَ آدَمِيٌّ مِنْ عَمَلٍ يَوْمَ النَّحْرِ أَحَبَّ إِلَى اللَّهِ مِنْ إِهْرَاقِ الدَّمِ.
ترجمہ:-
عن أبي هريرة، أن رسول الله -صلى الله عليه وسلم- قال: «مَن كان له سَعَة، ولمْ يُضَحِّ، فلا يَقْرَبَنّ مُصَلّانا»
Jawab:✍🏻
Sahib-e-nisaab musalman Mard wo Aurat par ayyaam naher (Qurbani ke dino main 10th Zul-Hajja Eid ki namaz ke bad se baarhavin 12th Zul-Hajja ke ghuroob aftaab tak) janwar qurbaan karna wajib hai. Qurbani ki qeemat (Net cash) sadqa karne se wajib adaa nahi hoga. Eid ke din ka sadqa yehi hai ke janwar zibah kar ke us ka gosht sadqa karen.
Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne irshad farmaya:
عَنْ عَائِشَةَ رَضِىَ اللَّهُ عَنْهَا، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: مَا عَمِلَ آدَمِيٌّ مِنْ عَمَلٍ يَوْمَ النَّحْرِ أَحَبَّ إِلَى اللَّهِ مِنْ إِهْرَاقِ الدَّمِ.
Tarjumah:-
Sayyeda Aisha Sadiqa رضى الله عنها se riwayat hai ke Rasool Allah صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ne farmaya: Qurbani wale dino main Allah taala ke nazdeek (qurbani ke janwar ka) khoon bahanay se bardh kar Aadam (عليه السلام) ki aulad ka koi amal pasandeeda nahi hai.
(Tirmizi Shareef)
Jis shakhs par qurbani wajib ho us ke liye qurbani chord kar qurbani ki raqam kisi faqeer ko dey dena sharean (Sharia’at me) durust nahi hai.
Jis shakhs ke zimme qurbani wajib thi kisi wajah se ayyaam-e-Naher (Qurbani wale din) mein us ne qurbani nahi ki to us ke baad qurbani ki niyat se janwar zibah karne ki zaroorat nahi. Ab us shakhs ko tauba wo astaghfar karni chahiye aur qurbani ke janwar ki qimat sadqa wo khairaat kar dena chahiye.
Hadees shareef:
عن أبي هريرة، أن رسول الله -صلى الله عليه وسلم- قال: «مَن كان له سَعَة، ولمْ يُضَحِّ، فلا يَقْرَبَنّ مُصَلّانا»
Tarjuma:-
Jis shakhs main Qurbani karne ki wusa’at (haisiyat) ho phir bhi wo qurbani naa kare to wo shakhs hamari Eid-gaah ke khareeb naa aaye. (Ibn e Maaja)
Qurbani se pahle sar ka mundwana - قربانی سے پہلے سر کا منڈوانا
واللہ و رسولہ اعلم بالصواب۔
محمد عظمت الله نظامي عفی عنہ
Like & Share on Whatsapp, Facebook, twitter, Pinterest
Follow this Blog.
Fiqhi Masail-Namaz, Roza, Zakat & Digar ke liye yaha click karen
Contact karne ke liye yaha click karen
Allah walon se dosti karna chahate hain to yaha click karen
Dua & Wazaif ke liye yaha click karen
Naat shareef & Salaam ke liye yaha Click karen
No comments:
Post a Comment