Thursday, July 22, 2021

Goad liye gaye bachche ko kis ke naam se mansoob kiya jaye. - گود لئے گئے بچے کو کس کے نام سے منسوب کیا جائے.

 

السلام عليكم ورحمة الله وبركاته

 بسم الله الرحمن الرحيم

 الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على أشرف الأنبياء والمرسلين وعلى آله وصحبه أجمعين أما بعد


Sawal:

Goad liyee gaye bacche ko kis ke naam se mansoob kiya jaye, Us ke palne wale baap se ya Haqeeqi baap ke naam se?


Jawab:- ✍🏻

Sharayi khanoon key mutaabiq bachcha yaa bachchi ko Haqeeqi walid  key Elaawah Goad Lene Walay ki taraf mansoob karna bahot sakth naa jaaiz wo haraam hai. 

kyun ke Goad Leny sey haqeeqat nahi Badalti aur ley paalak bachcha ya bachchi sirf Apne baap ki aulaad hi Rehtey hain. aur ley paalak aur mooh boli aulaad ko in key asal waalid ki taraf mansuub karna zaroori hai.


 Rasool Allah ﷺ ne Hazrat zaid bin Harisa رضی اللہ تعالیٰ عنہ ko Goad liya tha, to log unko zaid bin Mohammed ke naam se Pukaarne Lage to Allah pak ne ye Ayaat Brazil farmaya.


Qur’an:

اُدْعُوۡہُمْ لِاٰبَآئِہِمْ ہُوَ اَقْسَطُ عِنۡدَ اللہِ

Tarjuma:

Unheen (jin ko Goad liya hai) un key baap hi ka keh Kar pukaro Allah key nazdeek zeyaada theek yahi hai.


Is aayat e mubaraka ke tahet ley palak ko unke haqeeqi baap ke naam se hi pukarna chahiye, yaha tak ke, Shanakhti card (Aadhar, PAN and Voter ID), zabaani Pukaarne main waldiyat (S/o or D/o) ki jagah par is bachche key haqeeqi baap hi ka naam bolna aur likhna zaruuri Hai.

Isi tarha Qurbani ke waqt Dua ke dauran bhi haqeeqi walid ka naam hi lena chahiye. 


Misal:

Zaid ka beta Amar hai, aur Amar ko paalne wala baap Abdullah hai. 

Is surat me Amar ka naam qurbani ke waqt uske haqeeqi baap Amar bin zaid hi kahe kar liya jayega.


Hadees Shareef: 

 رسول اللہ صلی اللہ تعالیٰ علیہ و اٰلہ وسلم نے ارشاد فرمایا:”من ادعی الی غیر ابیہ و ھو یعلم انہ غیر ابیہ فالجنۃ علیہ حرام“ جس نے خود کو اپنے باپ کے غیر کی طرف منسوب کیا حالانکہ اسے علم تھا کہ وہ اس کا باپ نہیں ہے تو جنت اس پر حرام ہے۔


Tarjuma :

Rasool Allah صلی اللہ تعالیٰ علیہ ne farmaya: Jis ne khud ko apne baap ke ghair ki taraf masoob kiya Halan ke wo janta tha ke wo shakhs us ka baap nahi hai to us per Jannat haram hai.


وَاللہُ اَعْلَمُ عَزَّوَجَلَّ وَرَسُوْلُہ اَعْلَم صَلَّی اللّٰہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَسَلَّم

حافظ مولوی محمد عظمت اللہ نظامی 

No comments:

Post a Comment

Popular posts