Sunday, July 18, 2021

Qurbani ke badle paisay kisi ghareeb ko sadqa karsakte hain? - قربانی کے بدلے پیسے کسی غریب کو صدقہ کرسکتے ہیں؟


  السلام عليكم ورحمة الله وبركاته 

بسم الله الرحمن الرحيم 

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على أشرف الأنبياء والمرسلين وعلى آله وصحبه أجمعين أما بعد 

Sawal:-

Kya Qurbani ke badle naqd raqam (paisay) kisi ghareeb ko sadqa karsakte hain ?


Jawab:✍🏻

Sahib-e-nisaab musalman Mard wo Aurat par ayyaam naher (10 Zu-al-hajja Eid ki namaz ke bad se baarhavin (12 Zu-al-hajja) ke ghuroob aftaab tak) mein janwar qurbaan karna wajib hai. Qurbani ki qeemat sadqa karne se wajib adaa nahi hoga, Eid ke din ka sadqa yehi hai ke janwar zibah kar ke us ka gosht sadqa karen. 


Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne irshad farmaya:


عَنْ عَائِشَةَ رَضِىَ اللَّهُ عَنْهَا، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: مَا عَمِلَ آدَمِيٌّ مِنْ عَمَلٍ يَوْمَ النَّحْرِ أَحَبَّ إِلَى اللَّهِ مِنْ إِهْرَاقِ الدَّمِ.


Tarjuma:- 

Sayyeda Aisha Sadiqa رضى الله عنها se riwayat hai ke Rasool Allah صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ  ne farmaya: Qurbani wale dino main Allah taala ke nazdeek (qurbani ke janwar ka) khoon bahanay se bardh kar Aadam (عليه السلام) ki aulad ka koi amal pasandeeda nahi hai.


📗Tirmizi Shareef📗


Jis shakhs par qurbani wajib ho us ke liye qurbani chord kar qurbani ki raqam kisi faqeer ko dey dena sharean (Sharia’at me) durust nahi hai.


Jis shakhs ke zimme qurbani wajib thi kisi wajah se ayyaam-e-Naher (Qurbani wale din) mein us ne qurbani nahi ki to us ke baad qurbani ki niyat se janwar zibah karne ki zaroorat nahi. Ab us shakhs ko tauba wo astaghfar karni chahiye aur qurbani ke janwar ki qimat sadqa wo khairaat kar dena chahiye.


Hadees shareef:

 عن أبي هريرة، أن رسول الله -صلى الله عليه وسلم- قال: «مَن كان له سَعَة، ولمْ يُضَحِّ، فلا يَقْرَبَنّ مُصَلّانا»

جس شخص میں قُربانی کرنے کی وُسعَت ہو پھر بھی وہ قربانی نہ کرے تو وہ ہماری عید گاہ کے قریب نہ آئے

Jis shakhs main Qurbani karne ki wusa’at (haisiyat) ho phir bhi wo qurbani naa kare to wo shakhs hamari Eid-gaah ke qareeb nah aaye.


📗Ibn e Maaja📗



واللہ و رسولہ اعلم بالصواب۔

حافظ مولوی محمد عظمت اللہ نظامی 

No comments:

Post a Comment

Popular posts