بسم اللہ الرحمن الرحیم
الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على سيد المرسلين وعلى آله وصحبه أجمعين.
اللہ قرآن پاک میں ارشاد فرماتا ہے۔ آقِیمُوا الصَّلوةَ وَاتُوا الزَّكَوةَ وارْكَعُوا مَعَ الرَكِعينَ() ترجمہ: نماز قائم کرو، زکوٰۃ دو اور رکوع کرنے والے کے ساتھ رکوع کرو، (یعنی باجماعت نماز پڑھو)۔
اسلام میں نماز کے بہت سے فضائل وارد ہوۓ ہیں ، جن میں سے چند ایک درج ذیل بیان کیے جاتے ہیں:
قرب الٰہی: نماز بندے کو الله تعالیٰ کے قریب کرنے کا ذریعہ ہے، جیسا کہ بندہ الله کی تعریف اور اطاعت کے اظہار کے لیے نماز پڑھتا ہے۔
روح اور دل کی تطہیر: نماز روح اور دل کو گناہوں اور خطاؤں سے پاک کرنے کا ذریعہ ہے، اور یہ زندگی کو ترتیب دینے اور طرز عمل کو بہتر بنانے میں معاون ہے۔
وقت اور روزمرہ کی زندگی کو منظم کرنا: پانچوں نمازیں پورے دن میں تقسیم کی جاتی ہیں، جو وقت کو منظم کرنے اور روزمرہ کی سرگرمیوں کو ترتیب دینے میں معاون ہوتی ہیں۔
الله کے ساتھ تعلق کو مضبوط کرنا: نماز کے ذریعے مومن الله پاک کے ساتھ ایک مضبوط رشتہ استوار کرتا ہے اور اس کی عظمت اور قدرت کی پہچان کا اظہار کرتا ہے۔
جسمانی اور نفسیاتی صحت کو فروغ دینا: نماز میں مخصوص حرکات اور انداز شامل ہیں، جو خون کی گردش کو تیز کرنے اور جسمانی تندرستی کو بہتر بنانے میں مدد کرتی ہیں۔ یہ روح کو پرسکون کرنے اور قوت ارادی کو مضبوط کرنے میں بھی معاون ہے۔
شخصیت کو مضبوط بنانا اور خود پر قابو رکھنا: نماز کے اوقات مقرر کرنے اور ان پر عمل کرنے سے مومن اپنے آپ پر قابو پانا سیکھتا ہے اور ضبط نفس کو فروغ دیتا ہے۔
شیطان اور برائی سے لڑنا: نماز کو ڈھال سمجھا جاتا ہے جو مومن کو برائی اور گناہ کے رجحان سے بچاتا ہے، کیونکہ نماز پڑھنے سے ایمان مضبوط ہوتا ہے اور عزم مضبوط ہوتا ہے۔
ملت اسلامیہ ! نماز بہترین عبادت ہے۔ نماز کے ذریعے مسلمان خدا کا قرب حاصل کرتا ہے۔ نماز مومن کی نشانی ہے، نماز کا انکار کرنے والا کافر ہے، وقت پر نماز نہ پڑھنے والا گنہگار ہے۔ آج مسلمان نماز سے بے نیاز ہو چکے ہیں، آج مسلمانوں کے پاس نماز پڑھنے کا وقت نہیں ہے، لوگ نماز نہ پڑھنے کے لیے طرح طرح کے بہانے بناتے ہیں۔
لیکن مسلمانو! خدا کے حضور تمہارا کوئی بھی عذر کارگر نہ ہو گا اور قیامت کے دن پہلا سوال نماز کا ہو گا کہ اُس دن تم کیا جواب دو گے؟
مسلمانو! اللہ کی بارگاہ میں دنیا کا مال کام نہ آئے گا، دوست اور رشتہ دار کام نہ آئیں گے، اگر کچھ کام آنے والا ہے تو وہ عشق رسول ہے۔
"نماز آنکھوں کی ٹھنڈک ہے"۔
حدیث شریف میں ہے اللہ کے رسول صلی اللہ علیہ وسلم ارشاد فرماتے ہیں کہ اللہ تبارک و تعالیٰ نے پانچ وقت کی نماز فرض کی ہے۔ جس نے وقت پر اچھی طرح وضو کیا خضوع و خشوع کے ساتھ نماز پڑھی تو اللہ تبارک و تعالیٰ نے اپنے ذمہ کرم سے عہد کر لیا ہے کہ اسے بخش دے۔ دوسری جگہ اللہ کے پیارے حبیب صلی اللہ علیہ وسلم ارشاد فرماتے ہیں کہ نماز جنّت کی کنجی ہے۔ سرکارِ دو عالم صلی اللہ علیہ وسلم ایک اور جگہ ارشاد فرماتے ہیں۔
"نماز میرے آنکھوں کی ٹھنڈک ہے"
حديث شريف:
حضرت انس رضی اللہ تعالیٰ عنہ سے مروی ہے کہ سرکار دو عالم صلی اللہ علیہ و سلم اشاد فرماتے ہیں جس نے چالیس دن نماز فجر اور عشاء با جماعت پڑھی اس کو اللہ تبارک و تعالی دو براتیں عطا فرمائے گا ایک نار سے دوسری نفاق سے۔
ایک دوسری جگہ حضرت ابن عمر رضی اللہ تعالیٰ عنہما سے روایت ہے کہ سرکار دو عالم صلی اللہ علیہ وسلم ارشاد فرماتے ہیں جو مسجد میں با جماعت چالیس راتیں نماز عشاء پڑھے کہ رکعت اولی فوت نہ ہو تو اللہ تعالیٰ اس کے لئے دوزخ سے آزادی لکھ دے گا۔
Transliteration:
Allah Quran-e-pak main irshad farmata hai.
Tarjuma: Namaz qaim karo, zakat do aur ruku karne walay ke sath ruku karo, (Yani bajmaat namaz parho).
Islam main namaz ke bohat se fazail warid huwe hain, jin main se chand ek darj-e-zail bayan kiye jatay hain:
Qurb-E-Ellahi: Namaz bande ko Allah ta'ala ke qareeb karne ka zariya hai, jaisa ke bandah Allah ki tareef aur itaa'at ke izhaar ke liye namaz pardhta hai.
Rooh aur dil ki tatheer: Namaz rooh aur dil ko gunaaho aur khataon se pak karne ka zariya hai, aur yeh zindagi ko tarteeb daynay aur tarz-e-amal ko behtar bananay main madadgar sabit hoti hai.
Waqt aur roz marrah ki zindagi ko munazzam karna: Paanchon namazain pooray din main taqseem ki jati hain, jo waqt ko munazzam karne aur roz marrah ki sar garmiyon ko tarteeb daynay main Mua'win hoti hain.
Allah ke sath talluq ko mazboot karna: Namaz ke zariye momin Allah paak ke sath ek mazboot rishta ustuwar karta hai aur is ki Azmat aur Qudrat ki pehchan ka izhaar karta hai.
Jismani aur nafsiyati sehat ko farogh dena: Namaz main makhsoos harkaat aur andaaz shamil hain, jo khoon ki gardish ko teez karne aur jismani tandrusti ko behtar bananay main madad karti hain. yeh rooh ko pursukoon karne aur qowat-e-iraadi ko mazboot karne main bhi Mua'win hai.
Shakhsiyat ko Mazboot Banana aur Khud Par Qaboo Rakhna: Namaz ke auqaat muqarrar karne aur un par amal karne se momin apne aap par qaboo paana seekhta hai aur zabt-e-nafs ko farogh deta hai.
Shetan aur Buraiee Se Lardna: Namaz ko dhaal samjha jata hai jo momin ko buraiee aur gunah ke rujhan se bachata hai, kyunkay namaz pardhnay se imaan mazboot hota hai aur azm aur iradah mazboot hota hai.
Millat-e-Islamia! Namaz behtareen ibadat hai. namaz ke zariye musalman Allah ka qurb haasil karta hai. Namaz momin ki nishani hai, Namaz ka inkaar karne wala kafir hai, Waqt par namaz nah parhnay wala gunehgaar hai. Aaj musalman namaz se be niaz ho chuke hain, Aaj musalmanoon ke paas namaz pardhnay ka waqt nahi hai, Log namaz nah pardhnay ke liye tarha tarha ke bahanay banatay hain.
Lekin musalmano! Allah ke huzoor tumhara koi bhi bahana nah chalega aur qayamat ke din pehla sawal namaz ka ho ga ke uss din tum kya jawab do ge?
Musalmano! Allah ki bargaah main duniya ka maal kaam nah aaye ga, dost aur rishta daar kaam nah ayen ge, agar kuch kaam anay wala hai to woh Ishq-e-Rasool hai.
"Namaz aankhon ki thandak hai".
Hadees shareef main hai Allah ke Rasool (صلى الله عليه وسلم) irshad farmatay hain ke Allah Tabarak O ta'ala ne paanch waqt ki namaz farz ki hai. Jis ne waqt par achi terha wazu kiya aur dilchaspi ke sath namaz padha to Allah Tabarak O ta'ala ne apne zimma karam se wada kar liya hai ke usay bakhash dayga. Doosri jagah Allah ke pyare habib (صلى الله عليه وسلم) irshad farmatay hain ke namaz jannat ki kunji hai. Sarkar do aalam (صلى الله عليه وسلم) ek aur jagah irshad farmatay hain.
"Namaz mere aankhon ki thandak hai"
Hadees shreef:
Hazrat Anas R.A se marwi hai ke sarkar do-aalam ﷺ irshad farmatay hain jis ne chalees 40 din namaz Fajar aur Isha ba-jamaat padhe uss ko Allah Tabarak o ta'ala do Baraten ataa farmaiye ga ek naar-e- jahannum se azadi doosri nifaq se.
Ek doosri jagah Hazrat Ibn Umar R.A se riwayat hai ke sarkar do-aalam ﷺ irshad farmatay hain jo masjid mein ba jamaat chalees 40 raatain namaz isha padhay keh pahli rakat faut nah ho to Allah ta'ala uss ke liye dozakh se azadi likh day ga.
English:
It is narrated from Anas (RA) that Hazrat Muhammad (PBUH) praises Whoever prays Fajr and Isha in congregation for forty days, Allah Almighty will give him two excuses, one from fire and the other from hypocrisy.
In another place, it is narrated from Hazrat Ibn Umar (RA) that Hazrat Muhammad (PBUH) said: Whoever prays Isha prayer in the mosque with a congregation for forty nights without missing the first rakat, then Allah Almighty will write for him freedom from Hellfire.