Tuesday, September 17, 2024

زکوٰۃ کی رقم سے غریب لڑکے کے ولیمہ کے لئے مدد کرنا کیسا ہے؟ - Zakat ki rqam se ghareeb ladke ke walima ke liye madad karna kaisa hai?

 

Islami taleemaat o fiqhi masail

بسم الله الرحمن الرحيم

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على أشرف الأنبياء والمرسلين وعلى آله وصحبه اجمعين

سوال:-

السلام علیکم

ایک غریب طبقے کا لڑکا ہے جس کے پاس اتنی رقم نہیں ہے کہ وہ اپنی شادی اور ولیمہ کے اخراجات برداشت کر سکے۔

کیا ایسے لڑکے کو اس کے ولیمہ کے اخراجات کے لیے زکوٰۃ کی نیت سے رقم دی جاسکتی ہے؟

Sawal:-

As salamu alaikum

Ek ghareeb tabqay ka ladka hai jiske paas itni raqam nahi hai ke wo apni shadi aur walima ke akhrajat bardasht kar sake. Kya aise ladkay ko uske walima ke akhrajat ke liye zakat ki niyat se raqam di jaa sakti hai?

Walimah ka Masnoon Waqt - ولیمہ کا مسنون وقت 

جواب:-

وعليكم السلام ورحمة الله وبركاته

اس صورت میں جس شخص کو زکوٰة دی جارہی ہے اگر اس کی ملکیت میں ساڑھے سات تولہ سونا یا ساڑھے باون تولہ چاندی کی مقدار نقدیت نہ ہو تو ایسا فرد مستحق زکوٰة ہے ان کو زکوٰة دینے سے زکوٰة اداء ہوجائےگی۔ زکوٰة لینے کے  بعد اس شخص کو اختیار ہے چاہے ولیمہ یا شادی پر خرچ کرے۔  زکوٰة کی رقم سے اگر وہ ولیمہ کےلیے کھانا تیار کرتے ہیں تو اس کھانے سے وہ لوگ بھی کھا سکتے ہیں جو  زکوٰة کے مستحق نہیں کیونکہ غریب جب زکوٰة کی رقم وصول کرلیتا ہے تو پھر وہ زکوٰة نہیں رہتی۔

Qarza Zakaat ki niyyat se maaf karna - قرضہ زکوٰۃ کی نیت سے معاف کرنا

Jawab:-

Iss soorat main jis shakhs ko zakat di jaa rahi hai agar uski milkiyat main saadhe saat (7-1/2) tola sona ya saadhe baawan (52-1/2) tola chandi ki miqdar ya naqdiat na ho to aisa fard mustahiq-e-zakat hai. Unko zakat dene se zakat adaa ho jayegi. Zakat lene ke baad us shakhs ko ikhtiyar hai chahay walima ya shadi par kharch kare. Zakat ki raqam se agar wo walima ke liye khana tayar karte hain to is khanay se wo log bhi khaa sakte hain jo zakat ke mustahiq nahi, kyun ke ghareeb jab zakat ki raqam wasool kar leta hai to phir wo zakat nahi rehti.

Qarza Zakaat ki niyyat se maaf karna - قرضہ زکوٰۃ کی نیت سے معاف کرنا

والله ورسوله اعلم بالصواب

محمد عظمت الله نظامي عفی عنہ

 

 

Like & Share on Whatsapp, Facebook, twitter, Pinterest

Follow this Blog.

https://taleemaat.blogspot.com/

Fiqhi Masail-Namaz, Roza, Zakat & Digar ke liye yaha click karen

Contact karne ke liye yaha click karen

Allah walon se dosti karna chahate hain to yaha click karen

Dua & Wazaif ke liye yaha click karen

Naat shareef & Salaam ke liye yaha Click karen

No comments:

Post a Comment

Popular posts