Jamia Nizamia, Hyderabad
Jamia Nizamia ko Arif Billah Shaikh-ul-Islam Hazrat Allama Hafiz Muhammad Anwarullah Farooqi Fazilat Jung Alaihir Rahmah, jinhein "Faqih-e-Millat" ke laqab se bhi jana jata hai, ne 1292 Hijri 1872 AD mein taqwa aur tawakkul ki asaas par ilm-e-deen ki isha'at ke liye qaim farmaya. Ye ek iqamati deeni darsgah hai jo ilm-e-deen ki taleem wa isha'at mein masroof hai. Is markazi darsgah se lakhoon taliban-e-ilm faiz yaab hue. InshaAllah-al-Aziz ta qayamat iska ilmi faizan jaari rahega.
Jamia Nizamia aur Bargah-e-Nubuwwat: Iss darsgah ki azmat aur maqbooliyat ka andaza is khawab se lagaya ja-sakta hai ke 22 Zil-Hajj 1321 Hijri ko Jamia ke jalsa taqseem asnaad mein mashahir ulama aur mashaikh ilm doost O ashaab shaamil the. Hazrat Maulana Abdul Samad Qandhari apne dast-e-mubarak se asnaad taqseem farma rahe the. Jalsa mein Maulana Mufti Ruknuddin sahib ne fazilat-e-ilm par taqreer ki aur Hazrat Maulana Shah Abdul Haq sahib Musannif Tafseer Haqqani ne taleem-e-uloom-e-deeniya ki zarurat aur ahmiyat par badi aalimaana taqreer ki. Usi shab (raat) Hazrat Maulana Sharfuddin sahib Radolvi ne aalam-e-roya mein dekha ke Hazrat Muhammad Rasool Allah ﷺ arwahuna fidah tashreef la-rahe hain aur asnaad ko apne dastkhat-e-khaas se muzayyan farmane ke liye talab farma rahe hain. Chunanche muntazim madarsa sandain lekar haazir huwe. Yeh basharat tamaam waabastagan-e-Nizamiya ke liye hai ke unki saai qubool bargah-e-Huzoor Rahmat-ul-lil Aalameen hui. Is mubarak o mas'ood khawab ko Hazrat Sheikh-ul-Islam, Bani-e-Jamia ne apne mazmoon 'Nisab-e-Taleem' mein zikar farmaaya, jo Majlis Nadwat-ul-Ulama ke mahnama ilmi risala 'An-Nadwa' Shabaan 1322 Hijri mein taba hua. Is basharat aur barakat ka natija yeh hai ke Jamia se aise aise ulama paida huwe jo apne ilmi kaarnamon, dars-o-tadrees, waaz o nasihat, tasnif o taleef aur tasheeh o taleeq ke zariye Hind aur Bairoon-e-Hind Islam aur Musalmanon ki be-loos khidmaat anjaam dete rahe aur dete ja rahe hain. Inn Ulama ne hamesha Hazrat Bani Jamia (قدس سرہ) ke maslak-e-i’tedal ko jo Islam ki bunyadi khususiyaat hai, hirz-e-jaan bana rakha hai. Deen ki tauzeeh aur tarjumani mein hikmat aur mau’izath ko shi'ar banaya. Ghuloo aur ifraat-o-tafreet se apne aap ko bachaye rakha. Aaj ilmi aur deeni baseerat mein kami aur khaaskar fikr-o-nazar mein tawazun na hone ki wajah se millat mein mukhtalif kharabiyaan paida ho gayi hain. Iska sadbaab karne ke liye zaroori hai ke Jamia Nizamia ke faizaan aur iske maslak-e-i’tedal ko aam kiya jaye. Taake mazhab aur maslak waghera ke naam par roz ke jhagray, baahimi nafrat aur bigaard Musalman mu’ashare se khatam ho jayein aur tamam ahl-e-iman o Islam mein baahimi ittehad aur ittefaq qayam ho.
Quran-e-Hakeem hayat ka mukammal aur aakhri dastoor hai. Bamujib farman-e-Ilahi har badi abadi mein aise ulama paida hon jo afraad aur qoom ko ahkam-e-Islam se waqif karayen aur unn mein khauf-e-Ilahi paida karain. Isi aala maqasd ki takmeel ke liye Hazrat Sheikh-ul-Islam Arif bil-Allah Hafiz Muhammad Anwar-ullah Farooqi Fazilat Jang (قدس سره) ne Jamia Nizamia ki buniyad rakkhi jismein 16 saal ki muddat-e-taleem ke zariye ibtedaa se ta intehaa Hadith, Fiqh, Aqaaid o Kalaam aur Arabi Adab, Seerat o Tareekh ki aala taleem ka intezam hai aur Shoba-e-Hifz Quran-e-Majeed, Darul Ifta, Shoba-e-tehqiqat aur lardkiyon ki aala taleem ke liye Kulliyaat-ul-Banat (Girls college) bhi hai.
Jamia Nizamia apne qiyam se aaj tak ilm-e-deen ki isha'at aur millat-e-Islamia ki dini rehbari mein masroof hai. Iss sar'chashma-e-ilm o irfan se laakhon talib-e-ilm sair'aab hue aur mulk aur beiron mulk mein khidmat-e-ilm-e-deen mein mashghool hain. Riyasat aur beiron riyasat mein 292 madaris is se mulhaq hain, Jeddah mein bhi iski shaakh ka qiyam amal mein aaya.
Jamia Nizamia ek iqamati Islami university hai jahan taleem ke ilawa talib-e-ilm ke qiyaam o taam aur digar zarooriyaat ka baqaida intezam hai taake talib-e-ilm sahulat aur itminaan ke saath ilm-e-deen hasil kar saken.
Jamia Nizamia ke asnaad ko Osmania University Hyderabad, Maulana Azad Urdu National University aur Mashriqi Wasat ki ziada-tar universities tasleem karti hain. Jamia Nizamia ke farigheen Jamia Azhar Misr (Egypt) mein bhi zair-e-taleem hain. Jamia Nizamia mein Darul Ifta qaim hai jahan se rozana fatawe jaari hote hain aur internet Email: fatwa@jamianizamia.org se bhi fatawe hasil kiye ja-rahe hain.
Majlis Isha'at-ul-Uloom: Hazrat Bani Jamia ne uloom-e-Islamia ke nashr o isha'at aur tasneef o taaleef ke liye ek ilmi aur tahqiqati idara Majlis Isha'at-ul-Uloom qaim kiya tha. Ab tak is wasi' idara se sau se zyada ilmi aur baseerat afroz kutub shaya hui hain. Ye idara inqilab-e-zamana ke bawajood Bani Jamia (قدس سرہ) ke maqasad o mansha ke mutabiq tasneef o taaleef mein masroof hai. Qadeem matbua'at silsila war dobaara aur kuch kutub ko sah-bara bhi tab'a karwaya gaya hai. Hazrat Maulana Mufti Rukun-ud-Din Sahib (قدس سرہ) ke jaari kiye hue jumla fatawe ek jild mein aur fiqh ki aam fahm kitab Nasab-e-Ahl-e-Khidmat-e-Shar'iya ko dobaara tartib-e-jadeed ke saath computerized kar ke offset par Urdu aur Angrezi mein tab'a karwaya gaya hai, na sirf yeh balke har saalnah jalsa mein Jamia ke tahqiqati kutub ki tab'at hoti rehti hain.
Like & Share on Whatsapp, Facebook, twitter, Pinterest
Follow this Blog.
https://taleemaat.blogspot.com/
Fiqhi Masail-Namaz, Roza, Zakat & Digar ke liye yaha click karen
Contact karne ke liye yaha click karen
Allah walon se dosti karna chahate hain to yaha click karen
Dua & Wazaif ke liye yaha click karen
Naat shareef & Salaam ke liye yaha Click karen
No comments:
Post a Comment