Monday, June 10, 2024

عشرہ ذی الحجہ میں بال ناخن یا جسم کی کھال وغیرہ کاٹنے کا حکم - Zul-hajja ki 1 tareek se Qurbani tak Baal aur naakhun katnay ka hukum

Zul-hajja

 عشرہ ذی الحجہ میں بال ناخن یا جسم کی کھال وغیرہ کاٹنے کا حکم

ام المومنين حضرت ام سلمہ رضی الله تعالیٰ عنہا سے مروی ہے کہ آپ ﷺ نے ارشاد فرمایا : "جب ذوالحجہ کا پہلا عشرہ شروع ہو جائے اور تم میں سے کسی کا قربانی دینے کا ارادہ ہو تو وہ بال ناخن یا کھال کا کچھ حصہ نہ گاٹے ، جب تک قربانی نہ دے دے " ایک روایت میں یہ صراحت بھی موجود ہے کہ ذو الحجہ کا چاند طلوع ہوتے ہی ان چیزوں سے رک جائے۔ صحیح مسلم۔

اس حدیث کی روشنی میں فقہاء کرام نے اس عمل کو مستحب قرار دیا ہے کہ جس کا ارادہ قربانی کرنے کا ہے اس کے لیے مستحب ہے کہ ماہِ ذی الحجہ کے آغاز سے جب تک قربانی کا جانور ذبح نہ کرے جسم کے کسی عضو سے بال اور ناخن صاف نہ کرے ، نیز بلاضرورت کھال وغیرہ بھی نہ کاٹے اور یہ استحباب صرف ان لوگوں کے لیے ہے جن کا ارادہ قربانی کرنے کا ہو۔

البتہ بعض اکابر فرماتے ہیں کہ قربانی نہ کرنے والے بھی قربانی کرنے والوں کی مشابہت اختیار کر کے عام لوگوں کی قربانی کے بعد ناخن اور بال وغیرہ کاٹیں تو اللہ سے امید ہے کہ وہ بھی ثواب سے محرو م نہیں ہوں گے۔ نیز اس میں یہ ملحوظ رہے کہ اگر زیر ناف بال اور ناخنوں کو چالیس دن یا زیادہ ہو رہے ہوں تو ایسی صورت میں ان کی صفائی کرنا ضروری ہے۔

Zul-hajja ki 1 tareek se Qurbani tak Baal aur naakhun katnay ka hukum:

Umm ul-momineen Hazrat Umm-e-Salma (R.A) se marwi hai keh Rasool-e-Pak ne farmaya: Jab Zul-hajja ka pehla ashra (first 10 days) shuru ho jaye aur tum mein se kisi ka qurbani dainay ka iradah ho to woh shaks jisam ke Baal, naakhun ya khaal ka kuch hissa nah kaatay, jab tak Qurbaani nah karlo. Ek riwayat mein yeh Sarahat bhi mojood hai ke Zul-hajja ka chaand tulu hotay hi Inn cheezon se ruk jaye.

Iss hadees ki roshni mein fuqha-e-karaam ne is amal ko mustahib qarar diya hai ke jis ka iradah qurbani karne ka hai uss ke liye mustahib hai ke Zul-hajja ke aaghaz se jab tak qurbani ka janwar zibah nah kere jisam ke kisi hisse se baal aur naakhun saaf nah kere, aur bila-zarorat khaal wagairah bhi nah katay, aur ye istehbab sirf un logon ke liye hai jinn ka iradah qurbani karne ka ho.

Albata baaz akaabir farmatay hain ke qurbani nah karne walay bhi qurbani kame walon ki mushabihat ikhtiyar karkay aam logon ki qurbani ke baad naakhun aur baal wagairah kaatein to Allah se umeed hai ke woh bhi sawab se mahroom nahi hon-ge. Neez iss mein yeh malhooz rahay ke agar naaf ke baal aur nakhunon ko chalees din (40 days) ya ziyada ho rahay hon to aisi soorat mein un ki safai karna zaroori hai.

 

 

 



Like & Share on Whatsapp, Facebook, twitter, Pinterest

Follow this Blog.

No comments:

Post a Comment

Popular posts