Zakat ke Ahkam aur Aham Masail (Roman Urdu)
Fazail E Ramzan O Roza:
Huzoor Sallallahu alayhi wa sallam ka Irshad hai Ke Ramzan Ka Mahina Tamaam mahino Ka Sardar hai Ramzaan ul Mubarak Sabar Ka Mahina hai Sabar Ka Badla Jannat hai, ye humdardi aur ghamkhwari Ka Mahina Hai, iss Mubarak mahine ka pahla hissa rahamat, dusra hissa mahafirat, aur Aakhri hissa dozakh se najat ka hai, iss Mubarak mahine Main Char chizon ki Khususiyat ke sath kasrat ki Jaaye (1) Laa ilaha il'lal'laahu (2) Astaghfaar (3) Jannat ka sawal (4) Dozakh se najat.
Ahkam-E-Roza:
Tulu subah Sadiq se ghuroob e aftaab tak ibadat ki niyyat se khanay peenay aur jimaa (sexual intercourse) se ruke rehne ka naam Roza hai. Ramadaan ke Rozay har musalman Aqil baaligh par farz hain. Roza ki farziat ka munkir kafir aur bi'laa uzr-e-sharai tark karne wala fasiq aur gunahgaar hai. Roza ki niyyat gayarah bajey tak ki ja sakti hai. Lekin raat hi se niyyat kar leni afzal hai. Niyyat dil ke iradah ka naam hai aur zabaan se bhi kehna mustahab hai. Raat se niyyat ki jaye to ye kahe,
نَوَيْتُ اَنُ اَصُوْمَ غَداً
Aur Iftaar se pahle ye Dua padhe:
اللهم لَكَ صُمْتُ وبِكَ آمَنْتُ وَعَلَيْكَ تَوَكَّلْتُ وَعَلَى رِزْقِكَ اَفْطَرْتُ
Makroohaat-E-Roza:
Bila Shaheed Zaroorat Koi cheez Chakna ya chabana, koi manjan toothpaste se dant saaf karna, kul'li karne, naak Main Pani chadhane ya istinjaa main mubalagha karna, Moo main deer tak pani rakhna, thook jama kar ke nigal jana, saheri khane Main itni der karna kah Subah sadiq ho jaaye, Bahot takheer se iftar karna, Roza ki halat me ghibat karna, Jhoot bolna aur gaali galooch karna.
Roza ki Qazaa:
Bhool kar khaa Pee Lene ke bad iss Khiyal se Roza Toot Gaya khaa Pee Lena, Wazu karte waqt halaq main pani ka utar jana, kaan ya Naak Main tail (oil) dalna, Sar ya pait (stomach) ke zakham per Lagai Hui Dawa ka pait (stomach) ya dimag Main Utar Jana, Raat Samajh Kar Subah Sadiqh ke bad sahari karna, Jis dhuwa (fog) se Bacch sakte hain uska naak ya Mooh Main Lena, Ooud Ambar Aag par Dalna sab soraton main Roze ki sirf Qazaa lazim Aati Hai.
Qaza o kaffara:
Roza daar ka amadan (Intentionally) ghiza (food) ya dawa (medicine) ka kha pee lena, hambistr (sexual intercourse) hona un
sooraton main Qaza o kaffara dono lazim atay hain. kaffara: Sath (60) miskeeno
ko do waqt khana khilana ya do mahino tak musalsal roza rakhna hai.
Masno'nat:
Sehri karne main androon waqt takheer karna, iftaar main jaldi karna
jabkay ghuroob-e-aftaab ka yaqeen ho jaye, raat main roza ki niyyat karna,
khajoor se aftaar karna, aftaar se pehlay dua pardhna, haalat-e-roza main
gheebat waghairah se bachna.
Taraveeh:
Taraveeh ki namaz sunnat muakkadah hai. Taraveeh 20 rakaatay das 10 salamo ke
sath pardhna masnoon hai. Taraveeh ka waqt Isha ke baad se tulu Sadiq
tak hai. har chaar rak-at ke baad tarviha ki miqdaar khamosh rehna ya is
main tasbeeh pardhna ya zikar karna, Taraveeh main ek martaba Qur'an -e-
hakeem khatam karna sunnat muakkadah hai. do ya teen martaba afzal hai.
pooray Qur'an meain ek martaba Bismillah hir-Rahman nir-Raheem (بسم اللہ الرحمن الرحیم ) ka zor se
pardhna mustahab hai. Balighon ki taraveeh na balighon ke peechay durust
nahi, Aurtain apne gharon main taraveeh pardheen.
E'tikaaf:
Masjid main E'tikaf ki niyyat ke sath thahernay ka naam E'tikaf hai. Nabi
kareem ﷺ ne farmaya Motakif (E'tikaf mian baith ne wala) gunaaho se baz rehta hai. Aur nekiyon se usay
is qader sawab milta hai ke goya uss ne tamam nekiyan kee ( Ibn maja )
farmaya jis ne ramadaan ke das din E'tikaf kiya to goya uss ne do Hajj adaa
kiye (Kashful Ghumma) Ramadaan ke aakhri ashra ka E'tikaf sunnat muakkadah hai. Motakif ko chahiye ke Qur'an Majeed ki tilawat, Duroood shareef
ki kasrat, Deeni kutub ka mutalia aur acchi baton main mashgool rahay.
hawa'ij zarooriya (For urination) ke liye masjid se bahar niklana durust hai. Mard ko
masjid main aur Aurat ko ghar main motakif hona chahiye.
Shab-e-Qadar:
"Shab-e-Qadar" doosri tamam raton ke lehaaz se afzal aur barkat wali hai.
Allah ta'ala ki tajallii iss raat main shaam se subah tak nazil hoti
hai, aur bundon ki taraf mutawajjah rehti hai, aur unhen bargaah-e-yazdi main qurb haasil hota hai, iss raat Qur'an Majeed looh-e-mehfooz se aasman-e-duniya par nazil huwa. Yeh wo fazeelat hai jis ki had o Ghayat nahi. Iss mubarak raat main farishtay zameen par utartay hain taakay ibadat guzaar bundon se mulaqaat karen. Shab-e-Qadar tees hazaar din aur raton se afzal. chunkay hazaar mahino ke itnay hi din raat hotay hain, Huzoor (ﷺ) ne farmaya jis ne Shab-e-Qadar main imaan o yaqeen aur khuloos ke sath qiyam kiya yani shab baydaari ki to uss ke tamam guzray hue gunah maaf kar diye jatay hain. (Bukhari O Muslim ) Shab-e-Qadar main ghusul karna aur khushbu lagana mustahab hai. Iss raat dua main mashgool rahen.
Eid-ul-Fitr:
Eid ul fitr uss Eid ka naam hai jo mahe ramzan ke ikhtitam par mahe shawwal ki pehli tarikh ko manaya jata hai, jis main namaz ke elawa sadqah fitar bhi diya jata hai namaz Eid ul fitr o Eid ul-Adha un logon par wajib hai jin par juma wajib hai, namaz-e-eid ke wahi shara'it hain jo namaz juma ke hain, Albatta farq yeh hai ke namaz juma main khutba shart hai aur Eidain ki namaz main khutba shart nahi aur Azan o Iqamat nahi hoti, Eid ki namaz ka waqt aaftab ke ek nezah buland honay ke baad se zawaal tak rehta hai, Eid ul Fitr ki namaz main ta'kheer afzal hai.
Eid-ul-Fitr ke Aadaab:
Hajamat
banana, ghusal karna, miswaak karna, naya umdah libaas pahenna, khushbu
lagana, saweray Eid-gaah jane se pehlay sadqa fitr adaa karna aur kuch
khaa kar jana, Eid-gaah ko ek rastay se jana aur dosray rastay se aana
aur jatay waqt rasta main aahista takbir kehna.
Sadqa-e-Fitr:
Har
sahib-e-nisaab par sadqa fitr wajib hai. Nisaab par saal guzarna
zaroori nahi. Eid-ul-fitr ke din subah Sadiq ke tulu hotay hi
sadqa-e-fitr adaa karna wajib hai.
Miqdaar:
Agar ghayhon (wheat) ho to aadha saa ya uss ki qeemat, aata (flour) dena afzal hai. Qeemat dena sab se afzal hai. Chawal, Jawar waghera ki qisam main fitra adaa kere to aadha saa ghayhon (wheat) ki qeemat ke lehaaz se adaa kerain. Aadha saa sawa kilo 1-1/4 ka hota hai. (Fatawa Jamia Nizamia). Sahib-e-nisaab ko apne na-baligh aulaad ki janib se sadqa-e-fitr wajib hai. Sadqa fitr unhen dena chahiye, jin-hein zakat di ja-sakti hai. Ilm-e-Deen ke talba (students) ko bhi imdaad main sadqa fitr diya ja sakta hai.
Sona (Gold) Chandi (silver) ki Zakat:
Sona
(Gold) Chandi (Silver) Kisi Halat O Shakal main ho, Maslan zevar,
bartan waghairah in mein 40va hissa (Yani 2.5%) zakat farz hai, Chandi
(Silver) ka hisab 425 gram 285 milligram hai, aur Sona (Gold) Ka hisab
60 gram 755 milligram hai, Chandi (Silver) aur sone (Gold) ki qimat jo
is Waqt Bazaar mein qaraar paye uss ke mutabiq naqd (Cash) ya koi jins
khareed kar zakat main dee jasakti hai.
Kagzi Sikka:
Agar
kisi ke pass naqd raqam Chandi (Silver) ke nisab 425 gram 285 milligram
ki qimat ke barabar ho to ₹100 par ₹2.50 aur ₹1000 par ₹25.00, ₹10,000
par ₹250 Aur 1 lakh par ₹2500 rupaye Zakat wajib hai.
Fixed Deposit aur Shares par Zakat adaa Karne Ka Tarikha:
Fixed
Deposit aur Shares ko bhi raqam mutasavvar karte huwe saal guzarne ke
bad us ki raqam maloon ki jaye aur uss par 40va hissa zakat adaa karen.
Like & Share on Whatsapp, Facebook, twitter, Pinterest.
Follow this, Blog.
Fiqhi Masail-Namaz, Roza, Zakat & Digar ke liye yaha click karen
Contact karne ke liye yaha click karen
Allah walon se dosti karna chahate hain to yaha click karen
Dua & Wazaif ke liye yaha click karen
Naat shareef & Salaam ke liye yaha Click karen