سوال:-
ایک شخص پر قرض 4 لاکھ روپے ہیں ، سونا 4 تولہ اور چاندی 60
تولہ ہے تو ایسی صورت میں زکوٰۃ دینا واجب ہے یا نہیں شرعي راہنمائی فرمائیں؟
Sawal: -
Ek shaks par qarz 4 lakhs rupees hain aur sona (Gold) 4 tola aur Chandi (Silver) 60 tola hai to aisi surat main zakat dena wajib hai ya nahi shara’ee rahnumayi farmayen?
Biwi ki zakat shoher adaa karsakta hai ya nahi - بیوی کی زکاة شوہر ادا کرسکتا ہے یا نہیں
جواب: - ✍
اگر کسی شخص پر 4 لاکھ روپے قرض ہیں اور وہ شخص 4 تولہ سونا
اور 60 تولہ چاندی کا مالک بھی ہے۔ اسی طرح اس شخص کے پاس مذکورہ سونا اور چاندی
کے علاوہ نقد رقم ، مال تجارات میں سے اِتنا مال نہیں ہے کہ قرض ادا کرنے کے بعد
اس کے پاس نصاب جتنا مال بچ جائے تو ایسا شخص پر زکوٰۃ واجب نہیں ہے۔
آگر سونا 4 تولہ، چاندی 60 تولہ، نقدی اور مال تجارات کو
جمع کر کے جو رقم بنتی ہے اس سے 4 لاکھ
قرض ادا کرنے کے بعد شرعی نصاب (ساڑھے باون
1/2-52 تولہ چاندی کی مالیت) جتنا مال بچتا ہے تو اس مال پر زکوٰۃ واجب ہے۔
اگر مقروض کے پاس اتنا مال ہو کہ قرض ادا کرنے کے بعد باقی
مال نصاب کو نہ پہنچے بلکہ نصاب سے کم ہو تو اس صورت میں بھی نصاب سے کام مال پر
زکوٰۃ نہیں۔
Jawab: - ✍
Agar
Kisi shaks par qarz 4 lakhs rupees hain aur wo shaks sona (Gold) 4 tola aur 60
tola Chandi (Silver) ka malik bhi hai to agar us shaks ke pas mazkorah
(mentioned) sona aur chandi ke alawa naqd raqam (Cash) ya Maal-e-tijarat main
se itna maal nahi hai ke Qarz aadaa karne ke bad us ke pas nisab jitna maal
bach jaye to aise shaks par zakat wajib nahi hai.
Agar
sona (Gold) 4 tola, 60 tola Chandi (Silver), net cash aur maal-e-tijarat ko
jama karke jo raqam banti hai us raqam se 4 lakhs qarz adaa karne ke bad
shara’ee nisab (Saadhay bawan 52-1/2 tola chandi ki maliyat) jitna maal bach
jata hai to us maal par zakat wajib hai.
Agar
maqrooz ke paas itna maal hai ke qarz adaa karnay ke baad bacha huwa maal
nisaab ko nahi pohanchta balkay nisaab se kam hai to is soorat main bhi nisaab
se kam maal par zakat nahi hai.
Provident fund par Qurbani aur zakat wajib hai? - پراویڈنٹ فنڈ پر قربانی اور زکوٰۃ واجب ہے؟
والله
ورسوله اعلم بالصواب
محمد عظمت
الله نظامي عفی عنہ
Share, like, twitter, Pinterest
Follow this Blog,
Fiqhi Masail-Namaz, Roza, Zakat & Digar ke liye yaha click karen
Contact karne ke liye yaha click karen
Allah walon se dosti karna chahate hain to yaha click karen
Dua & Wazaif ke liye yaha click karen
Naat sharee & Salaam ke liye yaha Click karen
No comments:
Post a Comment