Sunday, December 18, 2022

فجر کی سنتیں فجر کے بعد ادا کرنے کا حکم - Fajar ki sunnatain fajar ke baad adaa karne ka hukum

 

Islami Taleemaat

 السلام عليكم ورحمة الله وبركاته

بسم الله الرحمن الرحيم

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على أشرف الأنبياء والمرسلين وعلى آله وصحبه اجمعين أما بعد

سوال:-

السلام عليكم حافظ! صاحب کیا فجر کی فرض نماز باجماعت ادا کرنے کے بعد فجر کی سنتیں پڑھ سکتے ہیں؟

Sawal:-

Assalamualaikum Hafiz Sahab! Kya fajar ki farz namaz jamaat ke saath padhne ke baad, fajar ki sunnat namaz padhsakte hain?

 

Dua Karne Ka Tareeqah-Fawaid ul fu’ad - فوائد الفواد Hazrath Syed Khwaja Hasan Sani Nizami (رح)

جواب:-

وعلیکم السلام!

فجر کی فرض نماز کے بعد سورج طلوع ہونے تک کوئی نفل یا سنّت نماز جائز نہیں۔ اگر فجر کی دو سنتیں فرض نماز سے پہلے نہ پڑھ سکے تو ان کو پڑھنے کا طریقہ یہ ہے کہ طلوع آفتاب کے تقریباً 20 منٹ بعد پڑھے۔

حديث شريف:

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ:‏‏‏‏ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏ مَنْ لَمْ يُصَلِّ رَكْعَتَيِ الْفَجْرِ فَلْيُصَلِّهِمَا بَعْدَ مَا تَطْلُعُ الشَّمْسُ

ترجـمہ:

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”جو فجر کی دونوں سنتیں نہ پڑھ سکے تو انہیں سورج نکلنے کے بعد پڑھ لے“

واضح رہے کہ رسول الله صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا کہ عصر کے بعد کوئی نماز نہیں ہے، یہاں تک کہ سورج غروب ہو جائے، اور نہ ہی صبح کی نماز کے بعد کوئی نماز ہے یہاں تک کہ سورج طلوع ہو جائے۔

 

Qaza namazon ke liye kya Ramzan ki aakhri Juma me 4 rakat nafil namaz padhna kafi hai - قضا نمازوں كے لیے کیا رمضان کے آخری جمعه میں 4 رَکْعَت نفل نماز پڑھنا کافی ہے

Jawab:

Walaikum Assalam!

Fajar ki farz namaz ke baad Suraj tulu honay tak koi Nafil ya sunnat namaz jaaiz nahi. Agar Fajar ki do sunnatain farz namaz se pehlay nah parh sakay to un ko parhnay ka tareeqa yeh hai ke tulu-e-aftaab ke taqreeban 20 minute baad parhay.

 Hadees Shareef:

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ:‏‏‏‏ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏ مَنْ لَمْ يُصَلِّ رَكْعَتَيِ الْفَجْرِ فَلْيُصَلِّهِمَا بَعْدَ مَا تَطْلُعُ الشَّمْسُ

Tajumah:

Rasool Allah ne farmaya: “jo Fajar ki do sunnatain nah parh sakay to unhen Suraj nikalny ke baad pardhle”.
Wazeh rahay ke Rasool Allah
ne farmaya ke Asar ke baad koi namaz nahi hai, yahan tak ke Suraj ghuroob ho jaye, aur nah hi subah ki namaz ke baad koi namaz hai yahan tak ke Suraj tulu ho jaye.

 واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

محمد عظمت الله نظامي عفی عنہ

Sajdah main zameen par pahle haath rakhe ya ghutne? - نماز میں جب ہم سجدہ میں جانے لگیں تو پہلے ہاتھ رکھیں یا گھٹنے؟

 

 Tafseer-zia-ul-quran

 

Share, like twitter, Pinterest

Follow this Blog

Fiqhi Masail-Namaz, Roza, Zakat & Digar ke liye yaha click karen

Contact karne ke liye yaha click karen

Allah walon se dosti karna chahate hain to yaha click karen

Dua & Wazaif ke liye yaha click karen

Naat sharee & Salaam ke liye yaha Click karen

 

 

 

Thursday, December 15, 2022

بچوں  کو سکھائی جانے والی آیت - Bacchon ko seekhayi jane wali aayat

بچوں  کو سکھائی جانے والی آیت

Bacchon ko seekhayi jane wali aayat

 

أيت العز islami taleemaat

 

             امام عبداللّٰہ بن احمد نسفی رَحْمَۃُاللّٰہِ تَعَالٰی عَلَیْہِ فرماتے ہیں  :نبی کریم صَلَّی اللّٰہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَسَلَّمَ نے  اس آیت کا نام آیت الْعِزْ رکھا ہے اور بنی عبدالمطلب کے بچے جب بولنا شروع کرتے تھے تو ان کو سب سے پہلے یہی آیت ’’قُلِ الْحَمْدُ لِلّٰهِ الَّذِیْ‘‘ سکھائی جاتی تھی۔ 

رسول اللہ ﷺ کی دعائیں - Rasool Allah ki Duayen 

 

 وَ قُلِ الْحَمْدُ لِلّٰهِ الَّذِیْ لَمْ یَتَّخِذْ وَلَدًا وَّ لَمْ یَكُنْ لَّهٗ شَرِیْكٌ فِی الْمُلْكِ وَ لَمْ یَكُنْ لَّهٗ وَلِیٌّ مِّنَ الذُّلِّ وَ كَبِّرْهُ تَكْبِیْرًا

 ترجمۂ کنز الایمان

اور یوں کہو سب خوبیاں اللہ کو جس نے اپنے لیے بچہ اختیار نہ فرمایا اور بادشاہی میں کوئی اس کا شریک نہیں اور کمزوری سے کوئی اس کا حمایتی نہیں اور اس کی بڑائی بولنے کو تکبیر کہو۔ 

Aur is tarha kaho sab khoobiyan Allah ko hai jis ne apne liye baccha ikhtiyar nah farmaya aur badshahi main koi us ka shareek nahi aur kamzori se koi us ka himayati nahi aur us ki badayi bolne ko takbeer kaho.

And say in this manner; "All praise is due to Allah who has not chosen a son for Himself, and in kingship no one is His partner, and no one is His supporter due to weakness (because He is never weak) and glorify Him by saying Takbeer (special words of glorification e.g. Allahu Akbar)."

دعاؤں کا خزانہ - Duaon ka khazana


Share, like twitter Pinterest

Follow this Blog

Fiqhi Masail-Namaz, Roza, Zakat & Digar ke liye yaha click karen

Contact karne ke liye yaha click karen

Allah walon se dosti karna chahate hain to yaha click karen

Dua & Wazaif ke liye yaha click karen

Naat sharee & Salaam ke liye yaha Click karen

تفسیر ضیاء القرآن - Tafsir Zia-ul-Qur'an

 

 

Islami taleemaat, Tafseer e Quran

تفسیر ضیاء القرآن جدید ترین تفسیر ہے جو کہ انسانیت کے لیے ایک عظیم تحفہ ہے۔

اسے سمجھنا بہت آسان ہے اور یہ قارئین کے دلوں میں حقیقت اور حقائق کو ابھارتا ہے، جو اسے اللہ تعالیٰ کے پیغمبر حضرت محمد رسول اللہ ﷺ کی محبت کے ساتھ پڑھتے ہیں۔

تفسیر ضیاء القرآن "پیر محمد کرم شاہ" صاحب کا موجودہ اور آنے والی نسلوں کے لیے عظیم شاہکار ہے۔ 

 Tafsir Zia Ul-Qur'an

 Tafsir Zia Ul-Qur'an is the latest Tafsir which is a great gift to humanity.

It is very easy to understand and it inculcates truth and facts in the hearts of the readers, who read it with love for the Prophet of Allah, Hazrat Muhammad Rasoolullah sallallahu alayhi wa sallam.

Tafsir Zia-ul-Qur'an is a great masterpiece of "Peer Muhammad Karam Shah" Sahib for present and future generations. 

 

Share, like twitter Pinterest

Follow this Blog

Fiqhi Masail-Namaz, Roza, Zakat & Digar ke liye yaha click karen

Contact karne ke liye yaha click karen

Allah walon se dosti karna chahate hain to yaha click karen

Dua & Wazaif ke liye yaha click karen

Naat sharee & Salaam ke liye yaha Click karen

 

Tuesday, December 13, 2022

Darood-e-Taaj_English - دورد تاج

 

Translation of Darood-e-Taaj

دُوُرْدِ تَاجْ

 



 Translation of Darood-e-Taaj

Bismillah Hirrahmaan Nirraheem

 

O Allah, send blessings and Peace upon our Master and messenger Muhammad, The Owner of the celestial Crown, the Ascent, the rider of the supernal Buraq and the Standard of truth and discernment. The Repeller of Affliction and Disease, Drought, Illness and Pain.

 

O Allah bless Our master Muhammad whose name is scribed eternally, elevated incomparably, interceding unfailingly and etched indelibly on the heavenly preserve tablet and the heavenly pen. Who is the Leader of all Arabs and non-Arabs, whose body is sanctified, fragrant, pure, Illumined in the House of Allah and the Haram.

 

He is the bright sun of guidance (hidayath), the Full Moon of Prophethood in Darkness, President of the heights, the Light of Guidance, A refuge for humans, the Lamp that Dispels the darkness, the owner of best qualities and character, the Intercessor of all Nations, the Owner of Munificence and Generosity.

 

Allah is his Protector, Jibriel is his servant, the supernal Buraq is his riding vehicle, Meraj is his journey, and the sidra-tul-muntaha is his place,

 

The position of Qaaba Qosain is his desire, his desire is his goal, and he has found his goal.

 

The leader of the Messengers of Allah, and the Seal of the Prophets, (None of the Prophet after Prophet mohammed).

 

The intercessor of sinners, the comforter of the strangers and friend of poors, the Mercy for the Worlds, A peace to his lovers and ultimate wish of his aspirants, the radiant sunlight of the gnostics, the shining light for the seekers of truth, the illuminating lamp of the ones near, who loves the poor, helpless and needy too, the chief of Humans and the Jinns, the Prophet of the two Holy Mosques, the Imam of the two direction of prayers, our means of felicity in both abodes: here and in the hereafter, the one who is the owner of Qaaba Qosain, the Beloved of the Lord of the Easts and the Wests, the grandfather of Hasan and Husain, Our master and the patron of Humans and Jinn: Abu al-Qasim MUHAMMAD Son of Abdullah, is verily a light from the light of Allah.

 

O you who aspire to behold his radiant beauty eternally, Send abundant blessings and utmost greetings of peace be upon him and upon his Family and his companions.

 

Translated by: Hafiz Mohammed Azmatullah Nizami.

 

Naik amal ka sawab - نیک عمل کا ثواب

 

Roman Urdu Main Darood-e-Taaj

 Bismillah Hirrahmaan Nirraheem

Allah ke naam se shuru jo nihayat maherbaan rahem farmane wala

 

Elaahi hamare aaqa o maula Mohammed (Sallallahu Alaihi Wasallam) par rahmet nazil farma jo Taj, Meraj, Buraq aur Jhande wale hain, Jin ke wasile se Balaa, Waba, Qahat, Marz aur Dukh door hota hai, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka Naam-e-Naami (Arsh-e-Azeem par) Likha gaya, Buland kiya gaya, Qubool-e-Shifa’at kiya gaya, aur Loh O qalam par kunda huwa hai, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Arab aur Ajam ke sardaar hain, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka jism nihayat muqaddas khushbodaar pakeeza aur khana-e-kaabaa O haram-e-pak main munawwar hai, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Chaasht gaah ke aaftaab, Andheree raat ke maahtaab, Bulandiyon ke sadar nasheen, Raah-e-hidayath ke noor, Makhlooqaat ki jaaye panaah, Andheron ke charaag, Neaik atwaar ke maalik, Ummaton ke bakhshwane wale, Bakhshish O karam se mousoof hain.

 

Allah Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka nigehbaan hai, Jibraiel Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke khadim hain aur Buraq aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki sawari, Meraaj aapka safar, Sidra-tul-muntaha Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka maqam.

 

Aur (Qurb-e-khuda wandi) Qaaba Qosain ka martaba Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka matloob hai, aur Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka matloob hi aap ka maqsood hai aur maqsood Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko hasil hai, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Rasoolon ke sardar, Nabiyon main sab se peeche aane wale, Gunahgaaron ke bakshwane wale, Musafiron ke ghamkhowar, Dunya jahan ke liye rahmet, Aashiqon ki raahat, Mushtaqon ki muraad, Khuda shanason ke aaftaab, Raah-e-Khuda par chalne walon ke charag, Muqarrabon ke rahnuma, Muhtaajon ghareebon aur miskeeno se mohabbat rakhne wale, Jinn aur Insaan ke sardar, Harmain ke Nabi, Dono qiblon (baitul-maqdas aur kaabah) ke peshwaa aur dunya O aakhirat main hamare wasilah hain, wo jo martabah qaaba qosain par faiz hain, Do mashriqon aur Do maghribon ke rab ke mahboob hain, Hazrat Imam Hasan aur Hazrath Imam Husain ke jadd-e-amjad aur hamare aur tamam Jinn aur Ins ke aaqa Abul-Qaasim Mohammed bin Abdullah jo Allah ke noor main se ek noor hain, Aye noor-e-jamal-e-Mohammedi ke mushtaqoo Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) par aur Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke Aal par aur Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke ashaab par durood O salam bhejoo jo bhejne ka haq hai.

 Share, like twitter Pinterest
 

 Gyarvi ke fateha - گیارہویں کی فاتحہ

 

Follow this Blog

Fiqhi Masail-Namaz, Roza, Zakat & Digar ke liye yaha click karen

Contact karne ke liye yaha click karen

Allah walon se dosti karna chahate hain to yaha click karen

Dua & Wazaif ke liye yaha click karen

Naat sharee & Salaam ke liye yaha Click karen

 

 

Popular posts