Tuesday, December 13, 2022

Darood-e-Taaj_English - دورد تاج

 

Translation of Darood-e-Taaj

دُوُرْدِ تَاجْ

 



 Translation of Darood-e-Taaj

Bismillah Hirrahmaan Nirraheem

 

O Allah, send blessings and Peace upon our Master and messenger Muhammad, The Owner of the celestial Crown, the Ascent, the rider of the supernal Buraq and the Standard of truth and discernment. The Repeller of Affliction and Disease, Drought, Illness and Pain.

 

O Allah bless Our master Muhammad whose name is scribed eternally, elevated incomparably, interceding unfailingly and etched indelibly on the heavenly preserve tablet and the heavenly pen. Who is the Leader of all Arabs and non-Arabs, whose body is sanctified, fragrant, pure, Illumined in the House of Allah and the Haram.

 

He is the bright sun of guidance (hidayath), the Full Moon of Prophethood in Darkness, President of the heights, the Light of Guidance, A refuge for humans, the Lamp that Dispels the darkness, the owner of best qualities and character, the Intercessor of all Nations, the Owner of Munificence and Generosity.

 

Allah is his Protector, Jibriel is his servant, the supernal Buraq is his riding vehicle, Meraj is his journey, and the sidra-tul-muntaha is his place,

 

The position of Qaaba Qosain is his desire, his desire is his goal, and he has found his goal.

 

The leader of the Messengers of Allah, and the Seal of the Prophets, (None of the Prophet after Prophet mohammed).

 

The intercessor of sinners, the comforter of the strangers and friend of poors, the Mercy for the Worlds, A peace to his lovers and ultimate wish of his aspirants, the radiant sunlight of the gnostics, the shining light for the seekers of truth, the illuminating lamp of the ones near, who loves the poor, helpless and needy too, the chief of Humans and the Jinns, the Prophet of the two Holy Mosques, the Imam of the two direction of prayers, our means of felicity in both abodes: here and in the hereafter, the one who is the owner of Qaaba Qosain, the Beloved of the Lord of the Easts and the Wests, the grandfather of Hasan and Husain, Our master and the patron of Humans and Jinn: Abu al-Qasim MUHAMMAD Son of Abdullah, is verily a light from the light of Allah.

 

O you who aspire to behold his radiant beauty eternally, Send abundant blessings and utmost greetings of peace be upon him and upon his Family and his companions.

 

Translated by: Hafiz Mohammed Azmatullah Nizami.

 

Naik amal ka sawab - نیک عمل کا ثواب

 

Roman Urdu Main Darood-e-Taaj

 Bismillah Hirrahmaan Nirraheem

Allah ke naam se shuru jo nihayat maherbaan rahem farmane wala

 

Elaahi hamare aaqa o maula Mohammed (Sallallahu Alaihi Wasallam) par rahmet nazil farma jo Taj, Meraj, Buraq aur Jhande wale hain, Jin ke wasile se Balaa, Waba, Qahat, Marz aur Dukh door hota hai, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka Naam-e-Naami (Arsh-e-Azeem par) Likha gaya, Buland kiya gaya, Qubool-e-Shifa’at kiya gaya, aur Loh O qalam par kunda huwa hai, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Arab aur Ajam ke sardaar hain, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka jism nihayat muqaddas khushbodaar pakeeza aur khana-e-kaabaa O haram-e-pak main munawwar hai, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Chaasht gaah ke aaftaab, Andheree raat ke maahtaab, Bulandiyon ke sadar nasheen, Raah-e-hidayath ke noor, Makhlooqaat ki jaaye panaah, Andheron ke charaag, Neaik atwaar ke maalik, Ummaton ke bakhshwane wale, Bakhshish O karam se mousoof hain.

 

Allah Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka nigehbaan hai, Jibraiel Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke khadim hain aur Buraq aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki sawari, Meraaj aapka safar, Sidra-tul-muntaha Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka maqam.

 

Aur (Qurb-e-khuda wandi) Qaaba Qosain ka martaba Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka matloob hai, aur Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka matloob hi aap ka maqsood hai aur maqsood Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko hasil hai, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Rasoolon ke sardar, Nabiyon main sab se peeche aane wale, Gunahgaaron ke bakshwane wale, Musafiron ke ghamkhowar, Dunya jahan ke liye rahmet, Aashiqon ki raahat, Mushtaqon ki muraad, Khuda shanason ke aaftaab, Raah-e-Khuda par chalne walon ke charag, Muqarrabon ke rahnuma, Muhtaajon ghareebon aur miskeeno se mohabbat rakhne wale, Jinn aur Insaan ke sardar, Harmain ke Nabi, Dono qiblon (baitul-maqdas aur kaabah) ke peshwaa aur dunya O aakhirat main hamare wasilah hain, wo jo martabah qaaba qosain par faiz hain, Do mashriqon aur Do maghribon ke rab ke mahboob hain, Hazrat Imam Hasan aur Hazrath Imam Husain ke jadd-e-amjad aur hamare aur tamam Jinn aur Ins ke aaqa Abul-Qaasim Mohammed bin Abdullah jo Allah ke noor main se ek noor hain, Aye noor-e-jamal-e-Mohammedi ke mushtaqoo Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) par aur Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke Aal par aur Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke ashaab par durood O salam bhejoo jo bhejne ka haq hai.

 Share, like twitter Pinterest
 

 Gyarvi ke fateha - گیارہویں کی فاتحہ

 

Follow this Blog

Fiqhi Masail-Namaz, Roza, Zakat & Digar ke liye yaha click karen

Contact karne ke liye yaha click karen

Allah walon se dosti karna chahate hain to yaha click karen

Dua & Wazaif ke liye yaha click karen

Naat sharee & Salaam ke liye yaha Click karen

 

 

No comments:

Post a Comment

Popular posts